Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Mar 11, 2024
BookMark
Report

Different Types Of Diet

Profile Image
Dr. Archna GuptaDietitian/Nutritionist • 32 Years Exp.Ph..D., M Sc Food Science and Nutrition, PG Diploma in Nutrition & Dietetics
lybrate_youtube

Main dietician Archna Gupta Ghaziabad se. App sabhi log aj kal fat diets jo tarah tarah k jo diets aa rahe hain unke bare main bahut utsuk hain janne k liye. Jaise ke Keto diet ho gai, GM diet ho gai, yeh diet voh diet jisse k hum jaldi se jaldi patle ho jaye. Lakin kya apne kabhi yeh socha hai ke kise ek particular diet ko agar hum follow karte hain, jaise ke humne agar keto diet folow kare jismain fat content jyada hai to hamere sharir pe uska kya asar hoga. Jab hum fat content jyada le rahe hain toh ketons hamere body main zyada banage toh uske vahja se hamare liver per aur hamare system per alag prabhav ayega. Hamare sharir main proteins ke, carbohydrates ke, vitamins, minerals ke kami ho jayege, toh kya yeh surakshit hai? Isse terah se agar hum dusre Paleo diet ke hum bat karen jismain ke protein zyda hota hai. Ya hum GM diet k bat karen jahan kuch carbs or protein ke combination different kar diye jate hain. Toh kya iss tarah k diet khana uchit hai?

Main apni taraf se sujhav dena chahti hoon ke kisse bhi tarah k diet ko app na follow karte hoe ek surakshit asan sahi tarike se santulit bhojan ka apne jeevan main pravdhan rakhen or uska prayog karen kyunke jo hamara jeevn hai yeh bhagvan k sarvotam uplabdhe hai hamare sarvotab bheth hai aur iss jeevan ko nirog rakhna hamare liye sabse bada vardan hai. Shareer ko nirog rakhne ke liye hamare ahaar ka bahut bada yogdan hai. Ahaar kaisa ho hum kya khayen kya na khayen ajj hum is vishya pe bat katrange. Nirog rahne k awashyak hai ke hum poshak bhojan khayen, hum swasth rahne ke liye kya khayen jisse bhojan se na kewal hamare bhook thek ho balki hamara jo sharir hai vo bhi swasth rahe. Iske liye bhaut zaroori hai hamara pachan.

Hamare agar pachan ya digestive system bahut achha rahega to hum jo bhi khayange usse hamara swasthya thek rahega, hame calorie pure tarah milange, hamare shareer main reduction hota hai jo hamare maintanance ho rahe hai, hamare sharir main badotre sahi se hoge aur hame kisse bhi tarah k bemarian hmare sharir ko nahi lagange. Hamere bhojan main calorie ke hisab se pratidin kuch uchit matra main carbohydrate, protein, vasa, vitamins minerals in sabhi ka prayog ka pravdhan rakha gaya hai jo ke sharir ke physical state yani ke hamara sharir kis tarah ke banavat ka hai, hum kis ayuvag ke hain , hamare sharir main kis tarah ke koi pareshaniya hain ya phir hum kitna kam karte hain.

Like hum bahut zyada active hain ya hum thora kam karte hain ya hum medium worker hain like sedentary work, moderate worker or heavy worker. Uske hisab se hamare calorie ke requirement calculate kare jate hai, use ke hisab se hum proteins, carbohybrate or fat inka hum apne bhojan main sammeylan karte hain. Carbohydrate ke jo matra hote hai vo 55-60% ya 50-60% hote hai jo ke hame anajon se, allo se aur anaj ka matlab ho gaya apka chaval, gahon anya milets jo ke ajkal hum bilkul bhi prayog main nahi karte hain. Hum jab bhi bat karte hain hum kehte hain ke humne roti kha ke, hamne bread kha liya, hamne paow kha liya, hamne upma ke bane hoe chezen kha le lakin hum apne milets ko bilkul bhul chuke hain jismain jwar, bajra makka, ragi, jiska aj kal bahut season voh sb chezen bhi hame apne jeevan main sammeylit karne chiye. Protein ke jo matra hote hai, protein hamare sharir ke liye maintanance aur apke sharir ke banavat ke liye bahut avashyak hata hai.

Complete protein jo hamara hota hai vo non-veg items main jyada hota hai. Lakin agar hum do tarah ka protein ek sath late hain jaise hum dal or chaval ek sath khate rahe hain toh voh ek complete protein banjata hai, isse tarah se spyabeans apne app main ek complete protein hai, doodh or doodh se bane hoe padarth bhi complete protein hai. Toh doodh or doodh ke padarth hame apne daily ke requirement main zaroor lane chiye aur isse tarah se hame tarah tarah ke dalan zaroor khane chiye. Kiise bhi ek tarah ke khane ho hame apne bhojn main sammeylit nahi karna chiye. Bhavgan ne prakriti ne hame tarah tarah ke dalen, tarah tarah ke anaj, tarah tarah ke sabzian fal sab kuch diya hai aur hame mausam ke anusar ek dum taza fresh jo us season main mill raha hai voh saman hame apne bhojan main, pratidin ke ahar main sammeylit karna chiye. Aaj kal ke mausam main bahut sare mausami fal aa rahe hain, lakin abb ap kise se puchne chate hain toh sab yahi bolte hain ham seib kha lange, seib ka sesson nahi hai iss samya.

Varsha ritu main iss samaye main aoke pass addo, aloo bu khara ho gaya, apka ananas ho gaya, even aam bhi aa rahe hain, amrud aa raha hai, mausmi aa rhare hai, cheery aa rhae hai. Toh jo bhi season main fal hain lakin ham khate kitne fal hain. Hum sirf koshish karte hain ya toh juices le lain ya hum koe ek particular fal ke picche chalte rahte hain. Toh har tarah ke fal hame khane hai aur hame kosish karne hai ke jo bhi cheez prakriti main jitne jald bante hai voh hamare liye utne he achhe hai, utne he jaldi pachan ho jata hai usse hame kam se kam bimarian hote hain. Kosish yeh kare ke jo cheez ham kacche kha sakte hai voh kacche khayen, jo hum patla chilka utaar ke kha sakte hain vo hum patla chilka utaar ke khayen, jinka kadak chilka hai unhe hame utarna he padega hamare majburi hai unhe hum utaar kr khayen jisse ke adhik se adhik matra main fibers, minerals aur vitamins hamare sharir ko mil payen aur immunity system improve ho sake.

Immunity improve rahega hamara pahan system achha rahega to natural hai ke hum nerogi rahange, swasth rahenge aur jab hum swasth rahenge to hum bhojan apne appko nerogi rakhane main saksham ho payenge. Kam se kam davaian jab hum khayenge aur hum bhojan sahi tarike se sahi samay per biological clock ke hisab se. Jaise prakriti ka samay subah 6 baje uthba hai aur hum 10 baje so kr uth rahe hain toh vo bahut galat hai. Hame apne prakriti ke cycle ke sath main apna biological clock ko thora settle karna chiye. Subah uthne ke samay pe uthna hai, khane ke samay pe khana hai, khalne ke samay pe khelna hai, kam ke samay pe kam karna hai, rat ko sahi samay per khana khane ke 3 ghante k bad hame sona hai. Khane ka samay bhi uchit hona chiye, agar hum 11 baje so rahe hain toh 8 baje tak ham khana kha lain taki bhojan ka pachan thek tarike se ho jaye, hamare jeetha ragini sahi tarike se kam kare jiise ke hamare sharir ek dum swasth rahe. Aj kal ke vatavaran main hone valle pollution aur milvat se kam se kam hum nahi bach sakte toh hum apne sharir ke karya pranali ko shai tarike se agar hum rakhte hain toh hum usee sahi kar sakte hain.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Diet Planning treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details