Digestive And Immune System
Namaskar Doston!
Me Dr. Vinod Pandey, Mumbai se. Aaj me apko digestive and immune system ke bare me btaunga. Jo hum khate hain vo hmare galle se hota hua, small and big intestine se jata hai, juice secret krta hai and anal ke through bahar aa jata hai. Hmara immune system hume support krta hai bimariyon se ladne me. Apko ye pta hoga ki hmare aas pass infection and germs rehta hai. Agar hmara immune system strong hai to koi bhi bacteria and infection hume problem nhi kar skta hai. Or hum rogon se bache rehte hain. Log bacteria sun ke ghabra jate hain lekin unhe nhi pta hota ki kuch bacteria ache bhi hote hain. Ye bacteria hmare pachan tantra me hi hote hain.
Apko healthy bnane vale bacteria apke andar hi available hain. Inke karan hmara pachan tantra thik se kam kar pata hai. Aap aisa kya katr skte hain ki aap in bacteria ko protect kar sken and inka balance body me bna sken. Hmare digestive system and skin me hmesha bacteria ache rehte hain. Kuch bacteria hmare digestive system ko bhi support krte hain. Ye bacteria hume diabetes, obesity, colon cancer se bachte hain. Intestine me 300-400 bacteria available rehte hain. Inme lactobacillus, acidophilus, bifidobacterium bacteria hmare body me hmesha available rehte hain. Ye immune system ko bhi protect krte hain. Healthy body ke bacteria, unhealthy or bimar body ke bacteria se different hote hain. Ache bacteria ye bhi decide krte hain ki food me se kitna calories lena hai or baki kin healthy chizon ko kitna lena hai. Ache bacteria hume IBS, ulcerative colitis, anxiety, depression, cardiovascular disease se bachte hain. Humare body me jab harmful bacteria produce hote hain to hume rheumatoid arthritis hone ka risk hota hai.
Hume healthy bacteria ko increase krne ke lia kyu new ways pta hone chaiye taki hum khud ko bimariyon se protect kar sken. Hume fibre rich food lena chaiye. Vegetables and fruits ka jyada use krna chaiye. Hume fatty and fried food consume nhi krna chaiye. Junk food hume consume nhi krna chaiye. Exercise krna chaiye. Regular exercise bhi krna chaiye. Regualr yoga and meditation krna jruri hai. Requirement hone pe hume doctor se consult krna chaiye. Doctor ke suggestion ke baad hi hume pre and pro-biotics consume krne chaiye. Pre-biotic food se ache bacteria body me bnaye rkhte hain. Pro-biotic ache bacteria body me produce krte hain. Self-medication na kren. Apne khane peene ko leke conscious rhen. Stress free life rhen. Proper sleep len. 6-8 sleep bhut important hai. Is se hmare good bacteria ko portion milta hai or digestive system acha rehta hai. Hmara healthy hona bhut important hai. Agar apko mujhse or koi information chaiye to aap mujhse lybrate.com ke through contact kar skte hain.
Dhanywad!