Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Earwax Impaction

Profile Image
Dr. Swati TandonENT Specialist • 17 Years Exp.MBBS, MS - ENT, DNB - ENT
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Swati Tandon, ENT Specialist. Aaj me apko earwax impaction ke bare me btaungi. Normally earwax bahar ki traf aa jati hai or clean hoti rehti hai. Jaw movement se bhi earwax bahar aa jati hai. Ye ear ko kisi bhi infection se bachati hai and ye ear ke lia bhut important hai. But kuch logon me ye jama ho jati hai and logon ke lia problem krti hai. Ear me eczema ka problem ho skta hai. Narrow ear canal me bhi ye effect krta hai. Ageing ke sath bhi logon ko problem hoti hai. Ageing me ye wax hard and thick ho jati hai.

Cotton buds se bhi kuch logon ko problem ho jati hai quki cotton buds wax ko andr push kr deti hai. Iske symptoms hai pain and hearing problem, Ear me blockage ki sensation hoti hai. You should always consult an ENT specialist for cleaning you earwax. Drs kaise apka earwax clean krte hain? Hum irrigation ke through ya fir manually remove krte hain. Hum ear me pani dalte hain and wax pani ke sath bahar aa jati hai. Agar aap ghar pe try krenege too apke kaan ke parde ko bhi injury ho skti hai. Cotton buds se aap bahar ahr hi ear clean kriye and unhe kaan me mat daliye.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Staying Healthy treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details