Echocardiography
Namaskar Doston!
Aaj hum heart ki bhut hi sadaran investigation ke bare me discuss krenge jisko kehte hain echocardiography. Ye ultrasound machine pe ki jati hai. Ye hume heart ki bhut sari jankari deti hai. Jruri nhi hai ki agar kisika ECG thik hai to usko heart ki bimari nhi hai. Echocardiography me hum heart ko pura andar se study krte hain. Iske 4 chamber wall ke dwara jude hote hain. Echocardiography ke through hum heart ka function, blood supply, muscles work dekhte hain. Normally ek hi bimari famous hai vo hai heart attack.
Heart ki or bhi bhut sari bimariyan hoti hain jisko hum diagnose krte hain echocardiography se. Quki sirf angioplasty heart ki bimari ka ilaj nhi hai. Heart ki or bhi bimariyan hai jo medicines ke through thik ki ja skti hain. Hmare clinic me heart ki sari investigation ki jati hai jaise ki ECG, TMT, stress echocardiography. Aap Lybrate ke through mere se appointment le skte hain.
Namskar.