Epilepsy
Hello,
I am Dr. Namit Gupta, Neurologist. Today I will talk about epilepsy. Ye ek neurological disorder hai. Ye timely treat kia ja skta hai. Iska cause hai brain injury at the early age of childhood. Adults me iska cause hai infection like tuberculoma, tuberculosis, neurocysticercosis.
Brain me fever hona like meningitis, encephalitis. Brain me swelling or tumor hona. Brain me bleeding like SDH, EDH. Iske symptoms hai muscles pain, eyes ek direction me jana, unresponsive hona, unconscious hona. Jab ye apko effect krta hai to patient ke muh se foam discharge hota hai, urine pass ho skta hai. Isme patient ko kuch yaad nhi rehta hai. Iske lia surgery ki jati hai. Isko diagnose krne ke lia MRI and CT Scan kia jata hai. Kuch cases medication ke through treat kia ja skte hain. Iska timely treatment krne se 70-80% patient thik ho skte hain. Ye disease genetically nhi hoti hai.
Patient ko medicines timely leni hoti hai. Is problem me apko proper sleep lena hai. Late jagana ya fir kam time ke lia sona acha nhi hai apke lia. Patient ko dhyan rkhna hai ki 10-10:30 pm ke beyond apko nhi jagna hai. 6-8 hours ka sleep mandatory hai. Diet skip krne se ya fasting krne se is disease ke risk badh jate hain. Stress apka risk badha deta hai.
Thank You.