Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Erectile Dysfunction Due To Performance Anxiety

Profile Image
Dr. Vikas DeshmukhSexologist • 18 Years Exp.MBBS, M.D Psychiatry , Diploma In Psychological Medicine
lybrate_youtube

Hello Friends!

I am Dr. Vikas Deshmukh. I am a psychiatrist and sexologist practicing in Vashi, Navi Mumbai. Aaj hum baat krenge erectile dysfunction due to performance anxiety. Performance anxiety kya hota hai? Jab apke dimag me sex krne ke alwa koi chinta ya or koi thought ata hai ki apka performance kaisa hoga? Aap apne partner ko satisfy kar payenge ya nhi? Is chinta ki vjha se uska erection lose ho jata hai. Islia usko erection nhi aata hai. Me sare patient se puchta hun ki sex ke lia konsa organ sabse jruri part hai? To bhut sare patient ka answer hota hai - penis or ling. Lekin me sabse important part unko bolta hun - Brain.

Agar apke brain me sex ka vichar aat hai to hi apko erection aata hai. Yadi aap khin pe bhi baithe hain or sexual video ya message padh rhen hain to apko errection aa skta hai quki us time aap apne dimag me sex ke bare me soch rhen hain. Vahan apke partner nhi hota hai lekin sex ke vichar aapko aa rhen hain. Kabhi apko aise vichar bhi aa skte hain ki aap apne partner ko satisfy kar payenge ya nhi. Kabhi misconception bhi apke dimag me rehte hain ki apka penis ka size chota hai. Aap bhut jyada masturbation krte the jiski vjha se uska side-effect ho rha hai. Agar aisa anxiety apko rehta hai to erection apko nhi aata hai or aise hi next time bhi apka confidence loose hota hai.

Is darr ki vjha se aap sex pe focus nhi kar pate hain. Acha sex krne ke lia sex ke vichar maan me chaiye. Meri partner kitni achi dikhti hai. Sex ke time pe apke all 5 senses involve hone chaiye. Ab erection na aane k lia hum kya kar skte hain? Aap kisi psychitrist ya sexologist se milen. Agar or koi reason hai to rule out kriye. Kuch investigation apke doctor krenge. Aap apni sexual life ko enjoy karen. Involvement of other partner is also very important in this case. Agar apka partner isko smjhta hai to is chiz se bhut farak pdta hai. Agar aap apne partner se apni problem chupaoge to miscommunication badhega.

Agar apka partner smjhta hai apko to vo apki anxiety kam kar skta hai. Next technique hai relaxation. Before sexual activity, apko relax krna chaiye ya apni body ko rest dena chaiye. Ye apke doctor apko sikhayenge and apko ye 10 mins tak krna hai. Aap apna mind bhi divert kar skte hain jaise music, fantasies. Ye sari chizen aap performance anxiety se deal krne ke lia kar skte hain. So friends, Than you so much for listening. Meri or videos dekhne ke lia lybrate.com pe login kijiye. Mujhe aap contact kar skte hain Lybrate ke through.

Thank you very much.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Anxiety treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details