Exercises for Weight Loss
Exercises by which Weight can be reduced
Namaskar. Mai Atharva Ayurveda clinic se baat kar raha hun. Mera naam hai Dr. Sushant Nagarekar. Pichle video mein maine aap se aahar k baare mein kaha tha, abhi mai wyayam k baare me kahunga k kis prakar k wyayam karne k baad mein weight loss hota hai. Kayi log hote hai jo sochte hai ki mai ek hi din sab wyayam kar lun aur mera wyayam kam ho jayega. To aisa nahi hota. Kayi baar aisa hota hai k hum ek baar bohot zyada exercise kar lete hai aur uske wajah se humare muscles pe fat zyada deposit hota hai.
Exercise jo hai vo hamesha ek hi matra mein lekin zyada din tak karna chahiye to hi us exercise ka faida hoga, nahin to us exercise ka kuch bhi faida aap ko nahi hoga. Ek udharan k taur pe mai kehta hun aap ko k roz subah uht k agar aap ek kilometer chal rahe ho to roz ek kilometer hi chalo lekin lagatar chalo aur dheere dheere 100-100 meter badhate jao. Aisa karege to hi aap ka muscle mass badhega aur fat deposition ka hoga. Is tarike se wyayam se hum apna wazan kam kar sakte hai, nahi to agar hum ek hi din mein zyada exercise karege, ek hi din mein 10km bhaage gay aur dusre din se zara bhi nahi bhaage gay to humare muscles k upar fat deposition zyada honga.
To isiliye agar aap wajan kkam karna chahte hai to maine jo bola hai us tarike se wyayam karo usse aap ko zarur faida hoga aur isse bhi aap ko agar zyada jankaari chahiye to Librate.com se aap mujhe contact kar sakte hai.