Eye Health
Hi,
Me Dr. Ashok Hansaria, Ophthalmologist, Shivam Netralaya, Pandav Nagar, Delhi. Aaj me apko chashme se sambhandit important information dunga. Agar apka bacha 18-20 years ka hai to apke lia important information hai. Aksar hmare pass log aate hain jinke bachon ko chashme ki jrurat padti hai. Sare parents yhi chahte hain ki bache ko chashme ki jrurat na pde. Lekin agar bache ki ankhon ki roshni 6/6 nhi hai to use pehna dena chaiye. 18-20 saal ke baad chashma utarna bhut easy hai through treatments. 10 saal ke baad ankhon ki roshi badhna difficult hai. Exercise or medicines se specs nhi hatt skta hai. Question hota hai ki chashma na pehene to kya hoga? Agar specs nhi pehnege to ankhon ka development puri tarah se nhi ho payega. Patient ko lazy eye or amblyopia ka problem ho skta hai. Retina ko pura stimulation nhi milne ke karan ankho ko puri development nhi mil pati hai.
Agar bache ki age 4-8 ke bich me hai to bache ki roshni badhne ke maximum chances hote hain. Chashma bhut jruri hai taki bacha lazy eye me na jaye. Chashma ke jrurat hone me chashma hmesha pehnna hai. Kewal sote and nahate time hi utarna hai. Chashme ka care bhut asan hai. Kis trha ke glasses pehnne chaiye. Plastic ke light and ache glasses pehnne chaiye. Plastic glasses anti-glare hote hain. Glases CRAR ke hone chaiye. Bachon ko hmesha chashma pehnna chaiye. Jab tak bacha grow krta hai height me tab tak number bhi badhta hai. Bachon ke lia hum khane, neend and comupter and mobile usage ki advice bhi dete hain. Milk, black chana, badam, gajar, papaya khana hai.
Junk food nhi khana hai. Inme artificial flavour hota hai jo hmari tongue ke taste buds ko stimulate kar deta hai. Bache and badon ke chashme me kya antar hai. Bachon ko hmesha chashma pehnane ki advice di jati hai and bujurg logon ko kha jata hai ki jab jrurat ho tabhi chashma pehne. SIke alwa koi bhi jankari chaiye to aap mujhe Lybrate ke through contact kar skte hain.
Thanks!