Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Facial Rejuvenation

Profile Image
Dr. Ajaya KashyapCosmetic/Plastic Surgeon • 42 Years Exp.American Board of Plastic Surgery, , American Board Of General Surgery, MS - Dermatology, M.B.B.S
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Ajaya Kashyap, Cosmetic/Plastic Surgeon, Gurgaon. Today I will talk about facial rejuvenation. Facial rejuvenation mein aap face ki yuva awastha ko pradan karte hain. Agar hum young chehre ko dekhein toh uske anadar sab bahut bhara lagta hai aur upar khicha hua. Use dubara youthful banane ke lia fat pockets ko dubara lagana padta hai.Umar ke sath skin ka fat niche gir jaata hai, khaal dhili ho jaati hai aur skin ke niche ka fat hai vo bhi kam ho jaata hai. Skin thin ho jaati hai, wrinkles aa jaate hain aur baar baar muscles ke action se kuch particular direction mein jyada aati hain. Toh wrinkles hatana, khali jagaha ko bharna aur skin ko pull karke vapas lagana, is ko hum facial rejuvenation kehte hain. Sab jiske baare mein baat karte hain vo hai face lift. Jo show business mein hain vo ye procedure karate hain. Ismein skin and muscles ko upar utha dia jaata hai. Fat pocket ko apni jagaha pe phucha dia jaata hai.

Ye waqt ke sath sath cut invisible ho jaata hai. But aur bhi tarike hain jinse ye kia jaa sakta hai. Non-invasive and minimally invasive bhi tarike hain. Non-surgical mein se ek hai botox. Usmein jo lies padti hain unhein kam kar dia jata hai muscles ke action ko kam kar ke. Usmein chota sa injection dia jata hai jis se vo muscles paralyzed ho jaati hain. Us se wrinkles kam ho jaate hain and ye 5-6 months tak chalta hai. Dusri chiz hum karte hain ki jahan fat kam ho gaya ho vahan pe fat bharna. Jahan pe wrinkles jyda deep hain vahan pe correction ki jaa sakti hai. Ismein fillers bhi kia jaa sakta hai. Fillers kayi types ke aate hain and jo aam toor pe hum use karte hain use hyaluronic kehte hain. Is se lifted and bhari hui look aati hai. Toh fat ko replace karte hain and jo muscles hain unke action ko kam karte hain. Uske alwa next layer hai skin ki . Skin ko tight karne ke lia kuch tarike hum use karte hain. Ismein non-surgical treatment diye jaate hain like thermitight jismein ek choti si needle jaati hai. Aur andar se heat kar ke use kam kar deta hai. 3-4 months tak iska asar badhta rehta hai and uske baad stable rehta hai 4-5 years tak. Dusri ulthera hai and vo ultrasound se kaam karti hai. Vo upar se hi kaam karti hai and undar nahi jaati hai. Jo young age mein hai ya fir skin dheeli paad gayi hai, unke lia ye process ache hain.

Ek aur chiz hain jo hum karte hain jise kehte hain criolipo facial. Crio facial mein heat and cooling se skin ko tight kia jaata hai. Uske alawa stem cells bhi skin ko support karte hain skin ko tight karne mein. Stem cells vo hote hain jo kahin pe jaake bhi cells ban jaate hain. Stem cells kayi jagaha se aate hain and jo hum use karte hain vo hain fat ki. Fat nikal kar stem cells ko purify kia jaata hai. Kabhi ye apne office mein kia jata hai ya fir kabhi lab mein kia jata hai. Fir un stem cells ko inject kar dete hain. Aam toor pe agar hum 100 gram fat lete hain toh usmein pure stem cells mil jaati hain. Vo face ko rejuvenate karne mein kafi sahayak sidh hui hain. Ye stem cells aadmi ke apne sharir se nikalti hain. Jo kahin aur se stem cells li ja saken vo abhi tak approve anahi hain kisi bhi jagaha se. Apni stem cells use karne mein koi loss bhi nahi hai in fact beneficial hi hai. Ek hai PRP jo hum blood se lete hain. Blood ke PRP lene mein growth factor hote hain. Ise bhi inject kia jata hai. Chehra youthful lagta hai and relax lagta hai. Fresh lagta hai face aap ka. Expressions ache lagte hain and hum smile bhi de paate hain. Bhudape mein face niche ko jaane lagta hai aur agar insan khush bhi hai toh bhi vo unhappy lagta hai and gusse mein lagta hai. Kayi baar log kehte hain ki fark nahi padta but aap khush lagne chaiye. Aap ko young and fresh lagna hai. So, ye saare non-surgical process ka kafi mehtav hai aaj ke time mein. Insan ko time ke sath acha lagna hai. Yuva lagna hai and fresh lagna hai.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Skin Rejuvenation Treatment treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details