Facial Scars
Hi,
I am Dr. Vinay Singh, Dermatologist. Aaj me apse baat krunga facial scars ke bare me. Skin ke lia hmesha qualified dermatologist se hi consult ken. Sabse pehle ye janna important hai ki scars kyu pdte hain. Iska cause teenage me hai pimples. Kuch logon ko bhut jyada pimples hote hai or kuch ko kam and ye depend krta hai apki inherent body pe. Kabhi bhi pimple ko prick na kren. Or agar aap aisa krte hain to scars me ye convert ho jate hain. Skin pe gadhe hone ka risk hota hai. In sab ke lia alag alag treatment hota hai like microneedling, peels, fractional C02 laser. Kuch patients hmare pass ate hain jo purane scars thik kravana chahte hain like 6 months old or so.
But aise time pe aap except for make-up or kuch nhi kr skte hain. Kuch patients parlour jake bleach krvate hain jis se ye burn ho jate hain. Skin ke sath koi bhi experiment na kren. Scars remove krne ke lia kisi qualified dermatologist ke pass hi jayen. Koi bhi medicines kisi normal person ke suggestions se na len quki inme steroids hota hai and ye person to person vary krta hai. Steroid ke side-effects hain skin ka patla hona, hair ana. Agar apne steroid based cream lgayi hai or aap sunlight me chale jate hain ya fir stove ke pas to apka face red ho jata hai jo iska ek side-effect hai. Google pe read kr ke medicines na lena dr. consult kr k hi len. Bhut sare patient home remedies bhi use krte hain. But iske apne side-effects hain islia dermatologist se jrur consult kren koi bhi kam krne se pehle.
Thank You.