Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Feb 12, 2024
BookMark
Report

Fatty Liver

Profile Image
Dr. Lovkesh AnandGastroenterologist • 21 Years Exp.MBBS, MD - Internal Medicine, DM - Hepatology
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Lovkesh Anand, Hepatologist. Aaj mai aap sab ko fatty liver ke baare mein btaunga. Toh aaiye, pehle jaante hain ki liver kya hota hai. Liver humare peat ke right upper portion mein hota hai. Jahan ye bhojan ko pachane mein sahayak hai vhin dusri or khoon saaf karne and infections prevent karne, sugar control karne, fats, carbs, protein ko banane me help karta hai. Ek common dharana hai ki sharab ke sevan se hi liver khrab hota hai. Par aap ko jaan kar ashcharya hoga ki sugar and mottapa se bhi liver kharb hota hai. Is se liver mein charbi chadhna jise fatty liver bolte hain and sujan aana jisko hepatitis bolte hain, dono hi ho sakte hain. Durbhagyawash, hum patle logon mein bhi ye problem ho sakti hai. Ab iska prevalence badhne ka kya karan hai? Iska karan hai changed lifestyle. Humara sedentary lifestyle kafi badh gaya hai jismein hum regular basis pe exercises nahi karte hain.

Us se liver mein charabi chadhti hai. Humara khana peena kafi badal gaya hai. Fibre ka intake kum hota jaa raha hai. High calorie junk food badh gaya hai, sugar, soft drinks badhne se motapa badhta hai aur is se fatty liver hota hai. Ab iske symptoms kya ho sakte hain. Kayi baar logon ko koi symptom nahi hote but agar vo jaanch karate hain to fatty liver nikalta hai. Symptoms kayi baar bohot hi vague hote hain. Jaise ki gas, bloating, right side mein peat mein dard hona, peat saaf na hona. Advance cases mein jaundice bhi ho sakta hai. Lekin vo jab hota hai tab disease kafi badh jaati hai. Isko diagnose kaise karte hain? Isko ultrasound se check karte hain.or blood test karate hain.

Fibroscan ka test bhi karaya jaata hai. Ab iska ilaj kaise kia jaata hai. Regular exercise, weight loss, dieting bohot jruri hai. Exercise daily 45-60 mins mandatory hai. Regular walk bhi bohot important hai. This is the backbone of the treatment. Iske baad hi medicines kaam karti hain. Agar bimari jayada ho toh hum medicines dete hain jis se liver ki swelling kam hoti hai. Agar ye bimari bigad jaaye toh is se liver failure or cirrhosis bhi ho sakta hai. Jab ye ho jaaye toh liver change karne ke alawa koi option nahi rehta hai. Islia jab bhi aap ko oi bhi aise symptoms hote hain toh aap ko gastrologist se milna chaiye aur ilaj karana chaiye jis se aap ka fatty liver control rahe.

Dhanywad!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Steatosis treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details