Fatty Liver
Namaskar!
Me Dr. Piyush Ranjan, Sir Ganga Ram Hospital, Gastroenterologist hun. Aaj hum bat krenge fatty liver ke bare me. Ye problem 20-30% logon me dekhi jati hai. Liver me fat deposit hota hai. Logon ke maan me grade - 1, 2 & 3 ko lekar bhut sare questions hote hain. Iske causes hain obesity, sugar, cholesterol, thyroid and alcohol hain. Agar patient alcohol nhi leta hai to ise non-alcoholic disease kehte hain. Log mante hain ki is bimari se koi dush parinam nhi hota hai.
But research se pta chala hai ki is bimari ke badhne se ye liver ko damage kar deti hai jis se liver cirrhosis ho skta hai. Is se bachne ke tarike ko smjhna bhut jruri hai. Aaj kal kafi nyi medicines hain jo cholesterol and sugar ko control krne ke lia di jati hain. Iske sath hi hume apni diet and physical exercise ka bhi dhyan rkhna chaiye. Iske lia ache diet follow kren. Liver ki bimari ko check krne ke lia ek nya test hota hai jise fibroscan kehte hain. Is se ye bhi pta chalta hai ki liver me fat kitna deposit hai or future me iske kya complications hain. Agar ultrasound me ye problem aati hai to panic na kren or doctor ko contact kren. Alcohol quit kren. Agar cholesterol and diabetes hai to inka acha treatment len. Agar medicines ki jrurat hai to doctor se consult kr k medicines le skte hain.
Thanks!