Fear Of Being Without Your Mobile Phone
Hello Friends!
Mera naam Dr. Vinesh Chandramaniya hai. Mai ek psychiatrist hun Mumbai se. Friends aaj hum baat krenge jo bhut hi latest addiction hai, jisko hum smartphone addiction ya internet addiction kehte hain, suke bare me hum aaj thoda charcha krenge. See, smartphone addiction kya hai, nomophobia. Means, it is a fear of being without a mobile phone. Abhi aaj ka jo technology world hai usme mobile phones or dusri technology introduce hoti hai. Or uski vjha se khin na khin humko fyada bhi hota hai but anything in access is not good. So, aaj jis trha se smartphone or internet ko log use kar rhen hai, uski vjha se uska addiction badhta ja rha hai or hmara jo psychiatry association hai, unke latest classification me is addiction ko mental disorder ki category me rkha gya hai. To ye smartphone addiction kyu hota hai. Pehle hum log computer, laptop use krte the, aaj vo sab facility humko mobile ke jariye uplabdh ho rhi hai.
Mobile ka size chota rehta hai. It is convenient to carry anywhere. Usme hum internet se leke mails hai, social apps hai, surf kar skte hain. Aur uski vjha se uska day by day use badhta ja rha hai. Abhi jo mobile addiction hai, uski vjha se kya kya effect ho rha hai. To pehli bat to jo underlying depression hai, anxiety, stress badh rha hai. Dusra hmara virtual relationship badh rha hai. Mtlb hmara face to face relationship hai vo kam hote ja rha hai. Iske vjha se kafi sare break-ups ho rhen hai, divorces bhi ho rhen hai. Anxiety badhata hai. Hmara jo attention span hai usko kam krta hai. Iski vjha se chote bacho me attention deficit ka parman bdh rha hai.
Dusra hmare sleep ko disturb krta hai. Hmara ability day by day kam ho rha hai. And it encourages the self-absorption. Mtlb hmara self-centered behavior badh rha hai. Selfie lete hain or social site p post krte hain jiski vjha se self-centered badhta hai. Aur uski vjha se relationships kam ho rha hai. Abhi warning signs kya hai, kaise recognize kren. To ek to trouble ho rha hai apko koi bhi task complete krne me, ya to gharme, kam pe ya school me. Apka isolation ho rha hai. Khud ko aap kamre me band kar dete hain or mobile me busy ho jate hain. Tisra aap apna mobile phone ka usage chupate hain. Khin na khin apko lgta hai ki aap excessive mobile use kar rhen hain. Dusra apko lgta hai ki aap mobile use nhi krenge to kuch miss ho jayega. Jaise koi important news nhi milegi. Koi news hai ya knowledge hai, us se aap vanchit ho jayenge. Feeling of dread and anxiety.
Andar ghabrahat or bechani mehsus hoti hai. Agar aap phone ghar p bhul jayenge to appko restlessness hoti hai. And there is the feeling of phantom vibration always. Apko hmesha vibration feel hota hai. Friends, iske lia aaj me apko self-help tips dunga. Ki kaise hum apna mobile phone ka usage limit kar skte hain. So, first you have to recognize the triggers whether it is loneliness, underlying depression, stress, anxiety. Usko aap recognize kro or us s apka phone usage kam ho skta hai. Second, you have to understand the relationship between face to face and virtual or online relation. Jo online relation rehta hai uska jyada lamba future nhi rehta hai. Face to face me hmara bonding incfease hota hai. Aur hmara relation majbut hota hai. Third apko coping skills develop krna pdega. Agar aap koi chiz avoid krne k lia, mobile phone use kr rhen hai, to apko phobia or fear overcome krna pdega. Jaise social interaction avoid krne k lia log mobile use krte hain. Ek social phobia rehta hai ki me brabar inse bat nhi kar paunga. Aur aap hmesha mobile me busy rehte hain or eye to eye contact nhi kar pate.
Uske bad apko apna support system strong krna hai. Apko family, friends ko jyada se jyada time dena hai. Is s apka phone use kam ho jayega. Dusra ye hai ki apko ek certain rules banana pdega apne lia or family k lia ki kab mobile phone use krna hai or kab nhi. Jaise apko rule bnana hai ki apno khate time mobile use nhi krna hai. Jab family relatives ya friends aate hain tab apko mobile use nhi krna hai. Ya fir aap koi gathering me jate hain tab apko mobile use nhi krna hai. Aur aise konsi situation hai jo dangerous hain mobile use krne k lia. Like driving ho gya, road cross kr rhen hain. To aisa apko rules bnana pdega ki kab mobile use nhi krna hai. Apko mobile use krne k schedule bnana pdega. Ki is time me mobile use krunga. Jaise aap kam kr rhen hain or bich me 10-15 mins ka break chaiye to us time mobile use kr lia. Apko identify krna hai ki konse time me apka mobile phone jyada use ho rha hai.
To us hisab se aap usko control kr skte hain. Apke ghar me wifi hai to usko use krna k lia time fix krna pdega or vo rule sabke lia apply hoga. Baki mobile me aap notifications ko customize kar skte hain. Aur ek chiz hai agar aap time dekhne k lia aap phone use kar rhen hain to better switch on to a wrist watch. Agla ek app hai jiske dwara aap measure kar skte hain ki aap apna mobile kitna use kar rhen hain. Jaise ek app detox hai, rescue time kar k app available hai. Aur ek chiz hai ki apka mobile rkhne ka position kya hai. Jaise aap ghar pe aane k baad mobile kha rkhte hain. Aap hmesha mobile ko eye level se upar rkhen ghar me taki apko apka mobile nazar nhi ayega to utna hi kam aap usko hath me lenge. Dusra sone k time p mobile ko bed p na leke jayen. Agar aa paisa krte hain to apko bhut acha neend bhi milta hai. Ab bachon ko kaise mobile use krne se roken. You must be a role model.
Agar aap mobile kam use krenge to apke bache bhi apko dekh k mobile kam use krenge. Aap apne bache se bat kro ki kya hai aisa ki usko akela lag rha hai. Uske interest me aap jyada participate kren. Smartphone ki jgha or bhi bhut sara healthy activities hain. Usko aap develop krne ka koshish kro. Aur ye sab krne ka bad bhi aap ko lgta hai ki apka phone ka excessive use ho rha hai to aap definitely professional ka ya counselor ka maddad le skte hain. So, friends me ye smjhta hun ki jo bhi mene aaj btaya hai smartphone addiction ke bare me, ye apko useful lage honge tips. And for further contact, aap mujhe Lybarte k through contact kar skte hain through lybarte.com.
Thank You.