Find the right hair loss treatment for you!
Do you have bald spots or thinning hair? Check out the solution and treatment that can restore your hair and your confidence.
"Hi I am Dr Sandesh Gupta your skin specialist and hair treatment doctor. Aaj hum different hair transplant techniques k baare me discuss karenge.
Hair transplant ek aisi technique hai jis me sar k peeche ke part se hair follicles ko nikal ke unko collect karte hain aur sar ke us part main jahan par hair follicles damage ho chuki hai ya finish ho chuki hai wahan transplant kiya jata hai. Hair transplant Karne ki kafi sari techniques aaj kal hai jaise FUE technique, FUT technique, DHT technique. DHT technique. In sab techniques ko different doctors apne according in techniques ko use karte hain. FUE technique me hum Different hair follicles ko peeche se nikalte hain. Aur ek ek follicle ko drill machine ke sath nikala jata hai. Follicles ko nikal ke ek bowl me collect karte hain. Fir wahan se hum ek ek follicle ko jahan hair transplant karna hota hai transplant kiya jata hai. FUT technique main ek puri strip sir ke piche wale part se nikal jati hai. Skin ke us part ko baat mein suture kar diya jata hai. Aur ussi strip me se hum different hair follicles ko cutoff karte hain. Aur unko separate karke ek bowl me phir se collect karte hain. Aur baad main usko aage wale part mein Jaha par Humne transplant karna Hota Hai wahan par in hair follicles ko Lagaya jata hai. Third technique Hoti Hai direct hair transplant technique. Is Mein Hum Sath Sath hair follicles ko nikalte Hain Aur tabhi tabhi hum usko transplant kar dete Hain. Isme Beech Mein transition time nahi hota.
To yeh log kehaty hain k is me jo chances of Survival Jo Hote Hai Wo bad Jaate Hain. Lekin Har doctor Apne Apne according technique to use karte hai. Hair transplant ka procedure almost painless Hota Hai. Aur is me usually 6 to 7 hours ka time lagta hai. Patient is k bad happily apne ghar ja sakta hai. Rest karna Chahe to rest kar sakte hain. Otherwise kaam pr Jana Chahiye to very next day kaam par Ja sakte hain. Ab main baat Aati Hai Ke hair transplant karwane se pahle Hame kin kin Baaton Ka Dhyan humein Rakhna chahiye. Dekhiye aaj ki date mein Hair transplant sab log kar rahe hai, Bade hospital se leke chote Hospital Tak. Plastic surgeons bhi kar rahe hai, Surgeon bhi kar rahe hai, Dermatologist bhi kar rahe hai, MBBS doctors bhi kar rahe hai, non MBBS doctors bhi kar rahe hain, Technicians bhi even aur staff bhi kar rahe hai. Apne Apne center par independently hair transplant kar rahe hai. Lekin aapko hair transplant karne se pahle in sab Baaton Ka Dhyan Rakhna hai ke Kuch Main factors hai jo in outcomes pe depend karta hai Jin k ooper outcome depend karta hai. Hair transplant kahan karvana chahiye, center kaisa hai, kitna bada Centre hai. Dr. Kaun Hai karne wala, Phir patient ka selection, Selection of patient, Aur selection of centre.
Selection of patient Mein Kya Hai Ke Patient Jiska hair transplant karna hai Uska kaisa hai, uski severity kitni hai. Uska area kitna hai, Uski family history kaisi hai. Ya uska complex kaisa hai. Transplant karne ke baad doctor ko regular follow up Karega Bhi Ki nahi karega. Is baat ke upar outcome Kafi depend karta hai. Doosri Baat Aati Hai doctor ka. Doctor ki education kya hai. Dr ka experience kitna hai, Kitne cases Woh hair transplant Ki Ab Tak kar chuka hai. Teesri Baat sabse important Doctor ki approachability kya hai? Jab Do Se 4 saal ke baad apko Doctor ki jarurat padegi Toh kya aap doctor ko contact kar Payenge aur doctor apki approach Mein hoga ya nahi ho ga. Aaj ke time mein bahut saare centres bahar Se Doctors ko Bula kay Operation karwa Dete Hain aur uske baad Doctors Apni Jagah par patients of apni jagah par.
Uske baad patient doctor ko approach karne ki koshish karta hai to centre may doctor nahi Milte Hain. aur Jahan Par doctor ko dhund bhi le ga Wo bolega nahi nahi aapne toh Centre mein karaya tha Aapko us Centre mein baat karni padegi. To is Baat ke liye ye bahut Zaroori Hai K Jis Centre me aap karwa rahe hain Uske Do se Char saal ke baad doctor ki aap ki approachability kaisi hai. Third thing jo hai wo hai ki centre kaisa hai. Centre Ki Jo OT Hai apni usme Staff kaisa hai technician kaise hai Equipments kaise hain aur Aur kisi bhi condition Mein Hone Wali emergency Ko handle karne ke liye Emergency situation hai k nhe. Agar ap in SAB Baaton Ka Dhyan Me rakh Ke Phir hair transplant karwane ka decision Lete Hain. Toh isme outcome bahut accha hoga aur transparent karwane mein doctor ko bhi aur patient ko bhi jaldi nahi karni chahiye.
Pahale Soch Samajh Ke Saari Baaton ko Sare factors ko Dhyan Mein rakh ke tabhi ap hair transplant karway. Thik hai aur thank you. In case of any query any emergency you can contact me on the lybrate website. Thank you."