Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Sep 20, 2020
BookMark
Report

Fistula-In-Ano - In Detail About The Ailment!

Profile Image
Dr. Naveen ChauhanAyurvedic Doctor • 17 Years Exp.Bachelor of Ayurveda, Medicine and Surgery (BAMS), P.G.C.R.A.V. (Kshara Sutra)
lybrate_youtube

Hello,

Welcome friends, mein Dr. Naveen Chauhan, ksharsutra specialist for piles, fissure, fistula diseases. Aaj humara discussion ka topic hai vo hai fistula in ano jisko hum samanya language mein, hindi language mein bhangandar bolte hai uske baare mein thoda charcha kareinge. Fistula in ano ek aisi beemari hai jisko jo vyakti hai, jo sufferer hai usko jaldi se samajh nahi pata isme mukhya jo lakshan hai vo aap ka jo anast region hai uske aas paas ek funsi ya foda jaisa kuch niklega boil jaisa kuch niklega usko aur uss se dheere dheere pass ka discharge ho sakta hai ya fir swelling aisi ho sakti hai vo painful ho sakti hai kaafi agar vo nahi fut’ti hai toh, fut jata hai toh uss se pass ka discharge hota hai. Toh ye pass ka discharge off and on hota rahta hai patient jo hai pareshan rahta hai, anti-biotic aas paas ke kisi doctor ko dikha ke ya self-medication se anti-biotic dawaiya ya pain killer leta hai lekin uss se ye thik nahi hota hai. Fistula ka concept ye hai ki jo disease hai vo uski shuruwat jo hai vo anal canal ke andar hoti hai, ye ek bacteria ka infection hota hai basically aur bacteria poora travel karke bahar ek boil ki shakl mein, funsi ya fode ya shakl mein vo fut jata hai aur uss se pass ka discharge hota hai jo ki painful bhi hota hai kai baar, aur ye, chunki andar se shuruwat hoti hai beemari ki isliye ye dawaiyo se thik nahi hota.

Ab dawa se thik nahi hota toh kaise thik hoga? Do options hote hai ya toh hum usko open karke open surgery jo method hai, waise method aur bhi hai open surgery ke alawa. Halaki Ayurvedic dawaiya hai jis se iske progress ko kuchh hadd tak roka ja sakta hai but puri tarah thik karna isko sambhav nahi hota hai, toh dawaiyo se fistula ka treatment almost impossible hai. Surgery mein, agar open surgery karte hai fistula ki toh ek low type ka fistula hota hai jiski internal opening neeche ki side hoti hai, andar humare anal canal aur ractom ke beech mein ek structure hota hai jisko hum ano ractal ring bolte hai, agar uski internal opening uss ring se neech hai toh low type fistula bolte hai, agar uski internal opening ring se upar chali gayi hai toh usko high type fistula bolte hai. Toh low type fistula mein toh jo apki lay open wali surgery hai vo kaafi hadd tak successful hai, safal hai, lekin jo high type fistula hai ya fir jin fistula mein branching hai track ki, yani jo rasta hai uski branch bani hui hai toh usme aloplased surgery hai vo kamyab nahi hai aur usme recurrence dobara hone ke bahut jyada chances rahte hai. Toh isme humra jo treatment hai ayurved ka usko hum ksharsutra chikitsa bolte hai jo ki ek authentic method hai scientifically proven method hai isko jo hai discover toh Acharya Sushrut jo ayurved ke mahan grandfather of surgery bolte hai, khoj toh unhone kari thi lekin iska jo standardisation hai aur ispe jo further research hui hai vo BHU, ICMR aur AIIMS New Delhi mein jo hai mein hua hai. Toh ksharsutra mein basically jo fistula ka jo track hai usme dawa laga hua dhaga usse andar dalte hai, aur uss track se vo suko dheere dheere cut karta hai aur dheere dheere usko drain karta hai, uski jo gandagi hai, pass wagair jo bhi hai, usko vo drain out karta hai. Toh iss se vo dheere dheere, week by week fistula ka track cut hota jata hai aur simultaneously uski healing hoti jaati hai, toh iss tarike se yepoora dheere dheere karke jo track hai vo heal ho jata hai humara. Aur aise karke fistula dheere dheere thik ho jaata hai. Fistula se hi milti jhulti ek beemari hai jisko hum pilonidal sinus kahte hai, isme jo log jyada baithate hai, aur jinke shareer pe baal jyada hote hai unn logo ko jyada hoti hai. Isme jo hai apka kamar ke nichle hisse mein funsi ban jati hai, anus se vo connect nahi hoti, usme pura ek rasta sinus ban jata hai, uska bhi khsarsutra treatment jo hai vo treatment of choice hai, kyunki usme bhi recurrence kaafi ho jati hai agar open surgery se usko thik karne ki koshish karte hai. Ksharsutra se usme excellent result hai aur kshaarsutra fistula aur pilonidal sinus, anoractal aur bhi beemariya piles, fissure ek rambaan ki tarah kaam karta hai aur ye minimul invassive, matlab jisme kam se kam kaat peet hoti hai, ye aisi surgery hai. Toh mera apse ye nivedan hai ki agar kisi ko iss tarah ki samasya hoti hai, toh aap qualified ayurved doctor se consult karke iss treatment ko le.

Thank you!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Fistula in Ano treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details