Food Adulteration
Main dietician Archna Gupta Ghaziabad se.
Aap sabhi log aaj kal fat diets jo tarah tarah ke jo diets aa rahe hain, unke baare mein bahut utsuk hain janne ke liye. Jaise ke Keto diet ho gai, GM diet ho gai, yeh diet voh diet hai, jisse ki hum jaldi se jaldi patle ho jaaye. Lekin kya aapne kabhi yeh socha hai ke kise ek particular diet ko agar hum follow karte hain, jaise ke hum agar keto diet follow karein , jisme fat content zyaada hai to hamare shareer pe uska kya asar hoga.
Jab hum fat content zyaada le rahe hain , toh ketons hamari body main zyada banege ; toh uski vajah se hamare liver per aur hamare system per alag prabhav aayega. Hamare shareer mein proteins ke, carbohydrates ke, vitamins, minerals ke kami ho jayege, toh kya yeh surakshit hai? Isi tarah se agar hum Paleo diet ke baat karen, jismein ke protein zyda hota hai. Ya hum GM diet ki baat karen , jahaan kuch carbs or protein ke combination different kar diye jaate hain.
Toh kya iss tarah ke diet khaana uchit hai? Main apni taraf se sujhaav dena chahti hoon ke kisi bhi tarah ke diet ko aap na follow karte ho, to ek surakshit aasan sahi tarike se santulit bhojan ka apne jeevan mein pravdhan rakhen or uska prayog karen. Kyunki jo hamara jeevan hai, yeh bhagvan ke sarvotam uplabdh hai , el sarvotab bheth hai aur is jeevan ko nirog rakhna hamare liye sabse bada vardaan hai. Shareer ko nirog rakhne ke liye hamare ahaar ka bahut bada yogdaan hai. Ahaar kaisa ho , hum kya khayen kya na khayen , aaj hum is vishya pe bat karenge.
Nirog rahne ke liye awashak hai ke hum poshak bhojan khayen, hum swasth rahne ke liye kya khayen jisse bhojan se na kewal hamare bhook theek ho balki hamara jo sharir hai vo bhi swasth rahe. Iske liye bahut zaroori hai hamara pachan. Hamare agar pachan ya digestive system bahut achha rahega, to hum jo bhi khayenge , usse hamara swasthya theek rahega, hamein calories puri tarah milenge, hamare shareer mein reduction hota hai - jo hamare maintanance ho rahe hai, hamare sharir main badotre sahi se hoge aur kisi bhi tarah ki beemarian hamare sharir ko nahi lagenge.
Hamere bhojan main calorie ke hisaab se pratidin kuch uchit matra main carbohydrate, protein, vasa, vitamins minerals in sabhi ka prayog ka pravdhan rakha gaya hai jo ke sharir ke physical state yani ke hamara sharir kis tarah ke banavat ka hai, hum kis ayuvag ke hain , hamare sharir main kis tarah ke koi pareshaniya hain ya phir hum kitna kam karte hain. Like hum bahut zyada active hain ya hum thora kam karte hain, ya hum medium worker hain like sedentary work, moderate worker or heavy worker. Uske hisaab se hamare calorie ke requirement calculate kare jate hai, use ke hisaab se hum proteins, carbohybrate or fat inka hum apne bhojan main sammeylan karte hain. Carbohydrate ke jo matra hote hai vo 55-60% ya 50-60% hote hai jo ke hame anajon se, allo se aur anaj ka matlab ho gaya apka chaval, gahon anya milets jo ke ajkal hum bilkul bhi prayog main nahi karte hain.
Hum jab bhi baat karte hain, hum kehte hain ke humne roti kha ke, hamne bread kha liya, hamne paow kha liya, hamne upma ke bane hoe chezen kha le lakin hum apne milets ko bilkul bhul chuke hain jismain jwar, bajra makka, ragi, jiska aj kal bahut season voh sb chezen bhi hame apne jeevan main sammeylit karne chiye. Protein ki jo maatra hote hai, protein hamare sharir ke liye maintanance aur apke sharir ke banavat ke liye bahut avashyak hata hai . Complete protein jo hamara hota hai vo non-veg items main jyada hota hai. Lakin agar hum do tarah ka protein ek sath late hain jaise hum dal or chaval ek sath khate rahe hain toh voh ek complete protein banjata hai, isse tarah se soyabeans apne app main ek complete protein hai, doodh or doodh se bane hoe padarth bhi complete protein hai. Toh doodh or doodh ke padarth hame apne daily ke requirement main zaroor lane chiye aur isse tarah se hame tarah tarah ke dalan zaroor khane chiye.
Kisi bhi ek tarah ka khaane ho, hamey apne bhojan mein sammeylit nahi karna chahiye. Bhavgan ne prakriti ne hame tarah tarah ke dalen, tarah tarah ke anaj, tarah tarah ke sabzian fal sab kuch diya hai aur hame mausam ke anusar ek dum taza fresh jo us season main mill raha hai voh saman hame apne bhojan main, pratidin ke ahar main sammeylit karna chiye. Aaj kal ke mausam main bahut sare mausami fal aa rahe hain, lakin abb ap kise se puchne chate hain toh sab yahi bolte hain ham seib kha lange, seib ka sesson nahi hai iss samya. Varsha ritu main iss samaye main aoke pass addo, aloo bu khara ho gaya, apka ananas ho gaya, even aam bhi aa rahe hain, amrud aa raha hai, mausmi aa rhare hai, cheery aa rhae hai.
Toh jo bhi season main fal hain lakin ham khate kitne fal hain. Hum sirf koshish karte hain ya toh juices le lain, ya hum koe ek particular fal ke picche chalte rahte hain. Toh har tarah ke fal hame khane hai aur hame kosish karne hai ke jo bhi cheez prakriti main jitne jald bante hai voh hamare liye utne he achhe hai, utne he jaldi pachan ho jata hai usse hame kam se kam bimarian hote hain. Kosish yeh kare ke jo cheez ham kacche kha sakte hai voh kacche khayen, jo hum patla chilka utaar ke kha sakte hain vo hum patla chilka utaar ke khayen, jinka kadak chilka hai unhe hame utarna he padega hamare majburi hai unhe hum utaar kr khayen jisse ke adhik se adhik matra main fibers, minerals aur vitamins hamare sharir ko mil payen aur immunity system improve ho sake.
Immunity improve rahega hamara pahan system achha rahega to natural hai ke hum nerogi rahange, swasth rahenge aur jab hum swasth rahenge to hum bhojan apne appko nerogi rakhane main saksham ho payenge. Kam se kam davaian jab hum khayenge aur hum bhojan sahi tarike se sahi samay per biological clock ke hisab se. Jaise prakriti ka samay subah 6 baje uthba hai aur hum 10 baje so kr uth rahe hain toh vo bahut galat hai. Hame apne prakriti ke cycle ke sath main apna biological clock ko thora settle karna chiye. Subah uthne ke samay pe uthna hai, khane ke samay pe khana hai, khalne ke samay pe khelna hai, kam ke samay pe kam karna hai, rat ko sahi samay per khana khane ke 3 ghante k bad hame sona hai.
Khane ka samay bhi uchit hona chiye, agar hum 11 baje so rahe hain toh 8 baje tak ham khana kha lain taki bhojan ka pachan thek tarike se ho jaye, hamare jeetha ragini sahi tarike se kam kare jiise ke hamare sharir ek dum swasth rahe. Aj kal ke vatavaran main hone valle pollution aur milvat se kam se kam hum nahi bach sakte toh hum apne sharir ke karya pranali ko shai tarike se agar hum rakhte hain toh hum usee sahi kar sakte hain.