Frequency Of Urination
I am Dr. Sudhir Khanna, Urologist, Sir Ganga Ram Hospital. Me last 30 years se practice kar raha hun.
Aaj main aapko frequency of urination ke baare mein baat karunga. Normal frequency 5-7 times in a day honi chahiye. Agar aapki age 60 years above hai and aap raat ko 1 se zyaada baar toilet jaate hain to vo abnormal condition hai. Iske alag alag causes hain. Jaise ki hum check karte hain ki aapka water intake per day kitna hai? Agar aapko stones nahi hai to aapke liye 1.5 litre water is sufficient for you.
Isko diagnose karne ke liye hum urine routine test karte hain. Check kiya jaata hai ki urine infection to nahi hai. Hum patient se puchte hain ki urination burning to nahi hai. Urine pass karte time urine rukta to nahi hai. Patient ko urination ke baad satisfaction hai ya nahi. Incomplete evacuation ka problem to nahi hai patient ko. Patient ko urge incontinence ka problem to nahi hai. Patient ka pus cells ka test kiya jaata hai. Patient ka uroflowmetry ka test kia jata hai. Check kia jata hai ki patient ka bladder me urine to nhi deposit ho rha hia. Iske liye residual urine test kia jata hai.
Agar ye problem treat nahi ho raha hai to humein catheter daalna padta hai. Patient agar zyaada paani pita hai to hum uska water intake kam kara dete hain. Jyada flow hone se hum patient ko medicines se treat kr dete hain. Prostate bhi check kia jata hai ki badha to nhi hai. Urine ke infection hone pe hum use treat krte hain. Agar hum frequency ko neglect karte hain to patient ka urine band ho sakta hai. Urine me blood bhi aa sakta hai and fever ho sakta hai. Isliye timely urologist se treatment lene se problem ko khatam kiya ja sakta hai. Thank You.