Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Mar 31, 2024
BookMark
Report

Frozen Shoulder

Profile Image
Dr. Darsh GoyalOrthopedic Doctor • 22 Years Exp.MS - Orthopaedics, MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, Fellowship in Joint Replacement, MCh (Ortho)
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Darsh Goyal, Orthopedist. Mai aaj aap ko frozen shoulder ke baarein mein btaunga. Ye bahut hi common problem hai jise hum kandha jaam hone ke naam se bhi jaante hain. Iska dusra naam adhesive capsulitis bhi hai. Ismein patient ko shoulder joint mein severe pain hota hai. Patient ke shoulder joint ki movement restricts bhi ho jaati hai. Movements uski kam ho jaati hai. Iske lia humein kandhe ki banavat ko samjhana hoga aur usmein aisa kya hota hai ki kandha stiff hone lagta hai and kandha stiff ho jata hai. Ek bone hoti hai jiska naam humerus hai aur dusri bone scapula ka glenoid surface. Ye dono bones milke shoulder jint banati hain. Iske aas pass aap muscles ki tendon belly dekhenge. Iske around ek capsule hota hai. Ismein ek synovial fluid hota hai jismein humara joint smoothly move karta hai. Frozen shoulder mein jhilli numa capsule motta ho jata hai.

Capsule tight bhi ho jata hai. Patient humse aake puchta hai ki frozen shoulder kyun ho gaya hai? Iske kayi karan ho sakte hain. Pehla karan hai ki agar diabetic patients mein agar shouler ki thodi bhi injury ho jaaye, internal bleeding ke karan vahan pe stiffness aani shuru ho jaati hai. Dusra karan hai diabetes ke sath thyoid, prostate ho toh inmein bhi frozen shoulder ki problem ho jaati hai. Ab hum baat kareinge ki iske kya sympoms hote hain. Pain and stiffness bahut common hai. Frozen shoulder basically 3 stages mein hota hai. Pehli stage ko hum freezing stage kehte hain, dusri stage ko hum frozen stage kehte hain and tisri ko thione phase kaha jaata hai. First stage mein kandha jaam hona shuru hota hai. Usmien patient ko pain jyada hota hai. 2nd stage mein kandha puri taraha jaam ho jata hai. Is phase mein patient ke shoulder ki movement baut kam hoti hai.

Ye phase 8 moths to 3 years tak continue ho sakta hai. 3rd phase mein patient ki recovery honi shuru hoti hai lekin movement full nahi aa paati hai. Ladies complanit karti hain ki agar vo upar koi saman rakhane ya nikalne ki koshish karte hain toh pain hota hai. Basically, patient haath ko upar le jaane mein capable nahi ho paate hain. Daily activities mein patient ko severe pain hota hai. Ab hum baat karenge ki hamare pass kya treatment option available hain. Commonly hum x-ray screening karate hain. Rarely humein kisi x-ray mein lagata hai ki koi injury hai but most of the time x-rays are normal. First treatment mein hum patient ko anti-inflammatory medicines dete hain aur gentle physiotherapy exercises samjhate hain jis se ki patient ki return or motion aati hai.

Kuch patients jo late aate hain ya fir is treatment se jinko result nahi milta hai, next stage treatment hota hai injections. Ismein shoulder mein hum injection dete hain. aur sath mein mobilization karte hain jis se stiff capsule release hota hai. Agar ismein bhi koi success na mile toh 3rd treatment hai arthroscopic shoulder capsular release. Matalb durbin ke through tight capsule ko nikalte hain. Toh jo bhi is problem se garasat hai use apne Dr se milna chaiye. Iske lia kargar treatments available hain. So, me WHO ki ek famous line bolke samapt karunga, movement is life, life is movement.

Thank You!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Frozen Shoulder treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details