Gallbladder Cancer
Namaskar, I am Dr. Arun Kumar Goel, Max Superspeciality Hospital, Delhi se.
Aaj main aapko gallbladder cancer ke baare mein bataunga. Ye cancer north india mein bahut common hai. Iska bahut important cause hai gallstones or pitt ke thaili ki pathri. Iske symptoms hain stomachache, loss of appetite, weight loss, jaundice hain.
Pitt ke thali ka diagnoses karana important hai. Agar ye diagnose timely ho jaye to hum ise immediately operation kar ke hata bhi sakte hain. Stones nikaalne ke baad bhi report me aata hai ki aapko gallbladder mein cancer hai. Isliye humein iska operation karna padta hai. Operation karne se cure me kaafi ache chances ban jaate hain. Isliye iska timely treatment bahut important hai. Ye surgery kaafi safe hai. Agar operation ke baad bhi cancer ke symptoms hain to hum chemotherapy and radiotherapy se ise treat kar skte hain. Timely detect kar ke iska ache se treatment kia ja sakta hai. Cure ka success rate bahut high hai. Gallbladder se daren na or iska samna karen. Dhanywad.