Glutathione - Things You Should Know About It
Hi,
I am Dr. Nivedita Dadu, Dermatologist. Aaj mai glutathione ke baare mein kuch baatein share karna chahti hun. Humari regular practice mein aise bahut se patients aate hain jo apna skin tone bright karna chahte hain. Iske liya vo glutathione ke baare mein puchte hain. Glutathione bahut jyada popular hota ja raha hai as a skin lightening agent. Sabse pehle ye jante hain ki glutathione hai kya? Ye ek antioxidant hai jo humare cells ko free radical damage se bachate hain. Ye humari body ke liya ache hote hain. Ab ye janna jaruri hai ki ye discover kaise hua? Ye FDA approve tha for chemotherapy patients. Unko medicines ke side-effects kam karne ke liya glutathione diya jata hai. Ab dkha gaya ki glutathione dene se unki skin light bhi ho rahi hai. Aur tab iska skin lightening agent ki tarah use hua. But ye skin lightening ke liya FDA approve nahi hai.
Ab ye kam kaise karta hai? Glutathione, tyrosinase enzyme ko eliminate karta hai. Ye body mein pigmentation ko rokta hai kyuki melanin humari body mein body ko color dete hai. Ismein ye bhi janna jaruri hai ki melanin 2 types ka hota hai: eumelanin, pheomelanin. Eumelanin humari body ko dark brown color deta hai and pheomelanin humari body ko yellow red color deta hai. Jab hum jyada dhoop mein rehte hain to eumelanin badh jata hai aur us se humari skin tan ho jaati hai. Glutathione eumelanin ko pheomelanin mein convert karta hai. Ab hum janenge ki glutathione kin tarikon se administer kiya ja sakta hai? Glutathione ke tablets aate hain, oral sprays, facewashes and drips ke form mein aati hain. Aap ko tablets ke sathvitamin-C bhi lena hai kyuki uski absorption vitamin-C ke sath badhti hai. Tablets ka result dekhne mein 2-3 months lag jaate hain. Injection vitamin-C ke sath dilute kar ke diya jata hai.
Injection dene se pehle jaruri hai ki aap ke blood test hona. During the course, bhi blood test hona jaruri hai. Glutathione ke liya kafi studies nahi ki gayi hain. Kafi baar pucha jata hai kya glutathione humari body mein khane se badh sakta hai? Ye food mein present nahi hota hai. But still aap oranges, green leafy vegetables, nuts khane se glutathione ka level badh sakta hai. Glutathione koi chemical nahi hai. Ye ek antioxidant hai jo naturally bhi humari body mein hota hai. Glutathione se log sochte hain ki results permanent rahege but aisa nahi hai. Iske injections expensive hain. Aap ko results sustain karne ke liya regular doses ki jarurat padegi. Isliya aap iska istemaal soch samajh ke hi karein.
Iske resulta enhance karne ke liya aap kya kya kar sakte hain? Alcohol, smoking ko kam karein. Stress level and sun exposure kam karein. Ek acha sn protection follow karein. Agar aap glutathione ka istemaal kar rahein hai toh realistic results expect karein. Glutathione tablets ka use aap soch samajh kar karein. Iske injections ghar par lagane vale nahi hain. Inka istemaal aap dermatologist ke supervision mein hi karein. Ye video sirf aap ki information and knowledge ke liya bnayi gayi hai. Mai kisi bhi product ko yahan promote nahi kar rahi hun. I hope aap ko ye informative laga hoga. Skin se related koi bhi information ke liya aap mujhse consult kar sakte hain.
Thank You!