Gynaecomastia - Know The Causes
Hi,
I am Dr. Ashish Sangvikar, Cosmetic/Plastic Surgeon. Aaj is video mein hum gynaecomastia yanike purshon ke satanon mein jo varidhi hoti hai, uske baare mein charcha karege. Ye ek common problem hai. 30-40% purshon mein ye paya jata hai. Ye ek side ya fir dono side ke satanon mein ho sakta hai. Adhikansh logon me ye problem itni choti hoti hai ki in logon ko ye condition samajh mein nhi aati hai. Aur unhe is se koi samasya nahi hoti hai. Lekin kuch logon me gynaecomastia kafi bada hota hai. Kafi embarassing situation bhi hoti hai. Kyunki dost log inka mazak udate hain Kahi pe shirt nikalte samay inhe hichkichahat hoti hai. Aur ye latest fashion ya fir apne pasanddida kapade nahi pehan sakte hain. Gynaecomastia ki mul samasya hormones hote hain. Apne sharir mein testosterone and estrogen main sex hormones hote hain.
Estrogen female sex hormone hai and purshon mein ye kafi kam matra me paye jate hain. Jab purshon mein estrogen ka level badhta hai ya fir testosterone and estrogen ka balance bigad jata hai toh gynaecomastia ki samasya utpan hoti hai. Toh ye samasya shishon aur old aged person mein kafi common hai. Kuch logon mein gynaecomastia ki samasya testis, thyroid ya fir liver ke problem se bhi ho sakti hai. Ya fir kisi medicine like steroid ke sevan se bhi ho sakte hai. Gynaecomastia ka ilaj karne se pehle, iska karan janna jaruri hai. Ismein clinical examination, kuch blood test aur hormonal study karna jaruri hota hai. Gynaecomastia ka ilaj ek simple operation hai. Ismein liposuction se satan ka fat nikala jata hai. Chote incision se breast gland nikala jata hai. Ye 1-1.5 hours ka chota sa operation hai. Adhiktar log 6 hours ke baad apne ghar jaate hain. Aur 3-4 din baad school, college ya fir office jaa sakte hain. Agar iska ilaj thik se kiya jaye to ye ilaj lifelong hota hai. Aur ye samasya fir se utpan nahi hoti hai. Agar aap ko gynaecomastia ke baare mein aur koi jankari chaiye ya fir gynaecomastia ki samasya hai toh aap mujhe Lybrate ke through contact kar sakte hain.
Thank You.