Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Dec 09, 2019
BookMark
Report

Hair fall - Symptoms, Causes & Treatment

Profile Image
Dr. Sandeep Gupta The DermatologistDermatologist • 20 Years Exp.MBBS, MD - Dermatology, observership Dermatosurgery IADVL
lybrate_youtube

Hello,

I am Dr. Sandeep Gupta, Dermatologist. Today I will talk about hairfall. Baal humare jeevan mein bahut mehatav rakhte hain. Inka jhadana ya fir ganjapan humare lia depression ka karan ban jata hai. Kayi baar iske lia hum bahut jagaha dikha chuke hote hain par aram anhi milta. Toh mai is baare mein btana chahunga ki agar aap ko skin ya fii hair se related koi bhi problem hai toh aap dermatologist se milein. Kyuki derma hi aap ko iska solution de sakata hai. Baalon ke jhadane ke lakshan kya hain. Aap ke baal dheere dheere jhad sakte hain kuch mahinon ya saalon mein ya fir kuch dino mein hi teezi se jhad sakte hain. Iska karan ek sudden bimari bhi ho sakta hai. Dusra aap ke baalon mein gol patches aa sakte hain. Tisra aap ke baalon mein papdi ya chilka ban sakta hai.

Baalon ka jhadana permanent ya temporary hota hai. Baalon ke jhadane ke karan. Iske 5 karan hain. Pehla karan hai hereditary. Ise hum androgenic alopecia bhi kehte hain. Ismein hair aap ke patle hote hain aur fir ganjapan aa jata hai. Dusra karan hai medical problem like thyroid, iron deficiency, thyroid problem. Tisra karan hai hormonal problem. Females mein PCOD ke bahut common problem hai. Jismein periods irregular hona, facial hair hona bhi ho sakta hai. 4th karan hai medications. Kuch medicines jo aap lete hain like BP ya fir aur kisi bhi chiz ke lia toh bhi aap ko hairfall hota hai. 5th karan hai autoimmune conditions. Jaise alopecia areta jismein baalon mein mein gol patches ho jaate hain. Hairfall ka ilaj: medicines, surgery, ya wigs and hair extensions ho sakta hai. Hum vitamins and iron supplements bhi dete hain aap ko. PRP aaj kal bahut popular hai. Ye medicines and surgery ke bich mein jod hai. Ismein aap ka 10ml blood leke usmein se growth factors nikal ke head mein inject karte hain jo aap ko hair growth mein help karta hai.

Ismein 5-6 months mein multiple sessions hote hain and baad mein 3-6 months mein bhi maintenance session dia jaate hain. Surgery jyadatar androgenic alopecia mein ki jaati hai jismien piche sir ke baal age ke bald patches mein lagaye jaate hain. Iske baad mbhi in baalon ko maintain karne ke lia aap ko medicine lagani ya khani pad sakti hai. Agar aap ko medicine suit nahi kar rahi hai ya aap ko side-effects ho rahein hai aur aap surgery bhi nahi chahte hain toh aap wigs laga sakte hain. Hair ko healthy rakhne ke sujhav. Sabse pehle aap ko balanced diet lena hai. Aap ko green vegetables lene hain jo iron ka rich source hain. Agar aap non-veg hain toh aap egg, liver chicken kha sakte hain. 2nd aap parlour activities avoid karein. Mild hampoo use karein. 4th aap choode daanton vala comb use karein. STress hatane ke lia aap regular exercise karein. Walk karein. Mujhse aasaha hai ki aap ko ye video acha laga hoga. Agara aap ko koi query hai toh aap Lybrate ke through mujhse contact kar sakte hain.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Baldness treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details