Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Hair Loss

Profile Image
Dr. Shaurya RohatgiDermatologist • 15 Years Exp.MBBS, MD - Dermatology , Venereology & Leprosy
lybrate_youtube

Namaskar!

Mai hun Dr, Shaurya Rohatgi. Mai Mumbai mein practice karta hun aur main ek skin specialist hun. Mai baat karunga hairfall yani ki balon ke jhadne ki takleef ke baare mein. Balon ke jhadne ke bahut saare kaaran hote hain. Iska kaaran dhundna bahut zaroori hai kyunki bahut sare misconceptions aur andhvishwas hai hairfall se related jiske kaaran log iss vicious cycle mein pade rehte hain or internet pe ya phir newspaper se ya phir dosto se puch ke alag alag tarah ke treatment karte hain jinka koi upyog nahi hota hai. Sabse pehle pani mein badlav ya phir shehar mein badlav ka hairfall se koi lena dena nahi hota hai. Doosra sabse common misconception hai ki masturbation karne ki wajah se hairfall hota hai. Masturbation ka hairfall se koi bhi lena dena nahi hai. Teesra, shampoo aur hair oil ka hairfall se koi lena dena nahi hai. Shampoo ka kaam sirf scalp ko saaf karna ya clean karna aur usme se oil nikalna hai.

Oiling karna completely useless hai. Oiling ka koi bhi upyog nahi hota hai. Aam tor par purushon mein hairfall ka sabse common kaaran male pattern baldness yani ki Androgenic alopecia hota hai jise hum samanya rup mein taklapan kehte hain. Iska proper treatment kiya ja sakta hai aur baal wapas lae ja sakte hain. Mahilaon mein hair loss pattern baldness ke kaaran bhi ho sakta hai aur dusre kaaran bhi ho sakte hain. Hair loss ka treatment karne se pehle uska kaaran dhundna bahut zaroori hai. Kaaran yani ki diagnosis karne ke baad hi hum hairfall ka sahi treatment kar sakte hain. Internet pe padh ke ya phir dosto se pooch ke treatment na karein. Sahi treatment karna hi samajhdari hai.

Purushon or mahilaon mein pattern baldness ka naya treatment hai PRP jise hum platelet rich plasma therapy kehte hain. Is treatment mein hum patients se 10-15 ml blood nikalte hain. Usko centrifuge karte hain. Platelets concentrate karte hain jisko hum platelet rich plasma kehte hain. Isme koi foreign substance nahi milaya jata hai. Ye patient ka apna plasma hota hai jisko hum scalp mein inject karte hain. Isse density Kafi acchi increase hoti hai aur uske sath sath pattern baldness ka medical treatment bhi kiya jata hai jo ki bahut zaroori hai, Iske baare mein aur jankari ke liye aur hairfall ke treatment ke liye mujhe Lybrate par sampark karein.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Hair Loss treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details