Hair Transplant
Hair Fall - Causes and Treatment
Main Dr. Nishant Chhajer, cosmetic and plastic surgeon. Noida mein practice karta hu aur main pichle aath saalo se cosmetic aur plastic ke chetra mein kaam karta hu aajkal humlog jaise ki dekh rahe hai ki bahut zada log dhyan de rahe hai ke wo kaise dikhte hai aur log unko kis tarah se samjhte hai aur kya unke baare mein sochte hai. toh look ek bahut hi important hai, aap kaise dikhte hai aur log aapke baare mein kya sochte hai aur kya wo dekhna chahte hai. naa kewal iska aapke confidence ke upar prabhav padhta hai lekin logo ke interpretation aur log kis sense mein aapko lete hai, wo bhi aapke upar bahut farak padhta hai. aaj hum hair transplant and baalon se related jo samasya hai ke baal jharne ki samasya aur jo kuch common infection hai baalo ki uske baare mein baat karege. Baalo ki bahut hi badi samasya ye hai ki nutrition jo hai wo acha nahi hai, stress bahut zada hai wo kaam ki ho ya gharelu ho ya economic ho ya lifestyle hu.
Ye saari samaya aapki baalo pe bahut bada prabhav padhta hai aur isse baal zada jharte hai. dusra ek ki waatawaran ek bahut hi important factor hai jaisi ki aap dekh hi rahe hai ki roz aata jaata hai tv pe, net pe, social media pe, ki heavy pollution ho gaya hai, heavy particulate matter bahut ho gaya hai, saans lene ki diqqat ho rahi hai. iske wajah se skin aur baalo ki samasya bhi kaafi badh rahi hai. naa kewal ye samasya badh rahi hai par bahut saari allergy aur usse hone wale rogo ko paida kar rahi hai aur iske wajah se kaafi kam umar mein logo ke baal jhar jaate hai. pehle aap dekhte the ki humare jo buzurg hote the wo 40 saal 50 saal 60 saal 80 saal umar tak unke baal jharte nahi the, baal kale bhi rehte the, lekin ab aap dekhege ki 25 saal 30 saal ke unke baal jharne lagte hai aur dekhege ke log aadhe ganje ho jate hai. aur uske baad wo idhar udhar ghumte hai ke kisi tarah se humare baal thik ho jaye ya unka koi ilaaj ho jaye.
Ab iske liye ye bhi dekhna zaruri hai ki aap jisse apna baalon ka ilaaj karwa rahe hai kya wo qualified hai ya nahi hai, kya wo is tarah ka ilaaj kar sakta hai ya nahi, uski appropriate education ya degree hai ki nahi hai humare desh mein kya hai ke koi bhi aake kehne lag jaata hai ke main is cheez ka specialist hu aur log uski baton mein aake aadha adhura ilaaj karwate hai, uske baad mein sochte hai ki iska koi ilaaj ho nahi sakta. Baalon ki samasya jo hoti hai unke liye dawai, khan paan aur hair transplant, ye kuch main cheezein hai jisse inki baalon ka ilaaj kiya jaa sakta hai. log baal jharne ki samasya ko shuruat lete hai ki kya kaaran hai, kyun baal jhar rahe hai, kya ye health related issues ke wajah se hai ya environmental issues ke wajah se hai aur ye nutritious issues ke wajah se hai. in cheezon ko dekhne ke baad hum ye dekhte hai ki kya ye allergy ke wajah se, kya ye fungal infection ke wajah se hai, ya ye genetic hai, pita ji ke bhaiyo ke baal kaafi jaldi umar mein jaldi chale gaye.
Is sab cheezon ko assess karne ke baad mein, teen option hum aapko suggest karte hai. ek toh ho gaya Pharmacotherapy, mane dawaiyon se ilaaj, isme allergy ka ilaaj, fungal infection ka ilaaj, dandruff ka ilaaj sab hai. dusra ho gaya, nutritional support therapy, jisme ki multivitamin aur jo ki growth factor hair specific hote hai, unko khane ki form mein diya jaata hai, dawai ke form mein diya jaata hai, aur sath mein PRP ya Mesotherapy ki local blood supply ko aapki scalp ke health ko badhate hai. aap ye samjh skte hai ki ye ek khaad ki tarah kaam karta hai. uske baad mein agla number aata hai jaha ke koi bhi gunjaish nahi bachti hai, usme hum hair transplant kar sakte hai. hair transplant ek bahut hi reliable and specialized tareeka hai baalo ko dobara grow karne ka.
Jaise ki aapne bahut suna hoga ke main 25000 mein baal laga dunga, koi keh raha hai ki main 50000 mein baal laga dunga, main ek lakh mein baal laga dunga, parantu aapko dekhna hoga ki aap aap jiske paas jaa rahe hai baal lagane ke liye kya wo uske liye upyukt aadmi hai ya nahi hai, kya unke centre pe facility hai ya nahi hai, unke results kaise hai aur unka commitment kaisa hai. baal lagan eke liye FUT aur FUE, do tareeke hai, dono mein koi vishesh antar nahi hai, kewal baal nikalne ka tareeka alag hai. baaki basic saari cheezein same hai, kaise baal nikale jayege, kaise nikale jayege. Hum apne centre pe baal aur isse related ilaaj karte aaye hai aur humare result reliable hai aur humara prayaas ye rehta hai ye hum dilver kare jo hum kehte aur jhoothe promises na de.
Hum apne centre mein pura assessment karne ke baad mein fitness dekhne ke baad mein ye chahte hai ke mareez kuch din dawai le jisse ki uske jo detrimental problems hai wo solve ho jaye aur uske baad mein baalo ko lagaya jaye. Agar aap humare baar mein aur adhik jaanna chahte hai toh aap lybrate pe online salaah le sakte hai aur agar aap mujhse personally milna chahte hai toh noida mein Gunjan Clinic, B Block Market, Sector 31 pe aap sampark kar sakte hai ya Greater Noida mein J. R Hospital, beta 1 mein aap sampark kar sakte hai. main bahut dhanyavaad deta hu aapka. Thank you.