Heartburn Or Gastroesophageal Reflux Disease (GERD)
Hello!
Main Dr. Praveen Sharma, Gastroenterologist. Aaj hum baat krenge heartburn or gastroesophageal reflux disease (GERD) ke bare me. Heartburn bhut hi common problem hai. Iske symptoms hai chest burning, khatti burp, gas formation. Heartburn hmare peat ke acid ko foodpipe me reflux hone se rokti hai. Jinko diabetes, blood pressure or smoking jyada krte hain to unhe cardiologist se contact krna chaiye. Ye heartburn kisi ko bhi ho skta hai.
Iske causes hain sedentary lifestyle, smoking, alcohol consumption, khana kahne ke baad let jana and koi exercise na krna. Isko prevent krne ke lia hi apko healthy lifestyle jeena bhut jruri hai. Iska treatment bhut easy hai. Khane khane and sone ke bich me 2 hours ka interval hona chaiye. Raat ko heavy khana na khayein. Breakfast heavy kren and lunch breakfast se light kren. Aise aap heartburn prevent kar skte hain. Alcohol and smoking quit kren. Vegetables and fruits jyada consume kren.
Isko thik krne ke lia aap medicines ka bhi support le skte hain. Lekin uske lia pehle doctor se consult kren.
Thanks!