Height & Weight - Know Information About It!
Hi,
I am Dr. Anirban Biswas, Endocrinologist. Today I will talk about perfect height and weight. These ar the common questions. Height badhane ke 2 hi option hain. First is genetic and 2nd is growth hormone. Inme nutrition ka bhi important role hota hai. Iske lia aap Dr ko dikha skte hain and check krva skte hain ki apki growth hormone kaisi hai. Growth hormone ke supplements aate hain jo hum apko de skte hain. Balanced diet lena bhut jruri hai. Kuch patients ka question hota hai ki weight kaise reduce kren. Obesity se kafi complications hote hain.
Like diabetes, blood pressure, stroke, cholesterol, breathing problem, snoring, cancer, arthritis. BMI se hum check krte hain ki apka obesity kitna hai. Hume apna BMI 25 se niche rkhna hai. 25-30 is overweight and above 30 is obesity. Apko diet me calories ko reduce krna hai. 2nd way haia ki aap calorie ko spend kren and iske lia hum apko walk ka suggestion dete hain. Swimming kren and weight lift, stretching exercises kren. Medicines bhi apko help krti hain. 7% weight loss krne se apki diabetes ki medicines adhi ho skti hain. Apka blood pressure 5 units se kam ho skta hai. heart attack ke chances bhi kam ho jate hain. Knee pain me bhi apko kafi help ho jati hai. Islai weight loss sabse important hai and apko agar or koi information chaiye to aap mujhse contact kr skte hain Lybrate ke through.
Thank You.