HIV PEP (Post-Exposure Prophylaxis) Drugs
Treatment After Exposure to HIV
Namaskar, mai Dr. Vinod Raina, aaj Lybrate k madhyam se aap se baat kar raha hun. Aaj hum baat karege HIV-PEP drugs k baare mein.
Dekhiye agar koi patient ya koi aadmi kisi sex worker k sath sex kar raha hai ya kisi massage parlour mein massage karwa raha hai aur us douran sex karte waqt uska direct contact hua uska ye matlab hai agar vo sex kar raha hai aur uska condom break ho gaya aur uski wajah se wo direct contact mein aa gaya kisi aise wyakti k sath jaha par usko lagta hai k HIV ya STD hone k chances hai to definitely un patients ko turant se turant humare pas aana chahiye. Aaj kal bohot hi badiya aur acchi dawaiya aayi hai jinhe hum kehte hai HIV PEP drugs (Post Prophalyxtic drug agent) jiska ye matlab hai k agar aap sex kar rahe hai aur sex karte dauran aap ka condom burst ho gaya aur burst hone k baad agar aap humare pas within 72hrs aate hai to hum aap ko kuch dawaiyo par daalenge aur agar aap wo dawaiya khayenge to aap ko HIV nahi honge.
100% aap ko protection milega, 100% aap ko HIV se chutkara milega. To dosto meherbani kar k aap ye video zyada se zyada share kare, apne dosto yaaro, jitne bhi aap k well wishers hai unke pas ye video jaana chahiye aur unko ye message milna chahiye k aaj k date mein agar aap ko koi aisi problem hoti hai jaha par aap ko lagta hai k HIV hone k chances hai to turant se turant aap humare paas aaye. Hum aap ko HIV PEP drugs par dalenge aur aap ki jo HIV transmission hai usko rokenge aur 100% aap ko HIV nahi honga.
Dosto aap mere ko sampark kar sakte hai Librate pe ya aap mere clinic mein mil sakte hai. Aap appointment book kar sakte hai www.librate.com/drvinodraina nahi to aap mujhse direct baat kar sakte hai.
Dhanyawad.