HIV & Sexually Transmitted Diseases - What Should You Know?
Hello,
Mein doctor Neha Gupta, Infectious Diseases Specialist . Aaj mein aap logo ko HIV aur sexually transmitted diseases ko baare mein kuch batana chahungi. Sabse jyada ye important hai ki hum HIV ya sexually transmitted diseases ko kis tarah se prevent kar sakte hai. Toh uske liye sabse pehle it is important to know the status of your partner. Toh aap shadi se pehle ya kisi se sambandh hone se apne partner ka status jaan le. Kyuki kai baar aisa hota hai ki patient ko HIV hota hai ya koi infection ho sakta hai aur vo usko pata bhi nahi hota. Toh isliye please know the status of your partner before you are getting involved with that person. Secondly, it's very important to have safe sexual practices.
Use barrier precaution before any such event. Aur teesra, most importantly, in case aapke kisi ke sath aise sambandh ho jaate hai ya aisa koi incident ho jata hai jisme aapko pata nahi hai ki apke partner ka kya status hai, toh uss condition mein bhi humare paas kuch effective medications hai, jinka istemal Karne se ye beemariya hone se hum rok sakte hai. Toh HIV ko prevent karne ke liye there are certain medications which are available and which should be taken specially within the first 72 hours. Jitna jaldi ho sake utna le le toh behtar rahega, lekin fir bhi 72 hours ke andar agar aap ye dawaiya lete hai toh fir HIV se aap bach sakte hai.
Aur infact ye dawaiya aajkal jo bhi available hai vo bhot safe hai aur inke side effect nahi hote hai unse. And usually 28 days ke liye lena padta hai. Iske ilawa we also have something called pre exposure prophylaxis ie if you are anticipating such an event that aisa possibility hai ki kisi ke sath apke sambandh ho sakte hai aur uss condition mein bhi aap vo particular event hone se pehle kuch dawaiya le sakte hai jis se ki aap ko HIV na ho. Ye saare recent advances hai humare paas jo ki post exposure and pre exposure prophylaxis kahlate hai aur inka istemal karne se HIV jaisi beemari bhi prevent ho sakti hai.
Thank you.