Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Avoid Surgery And Harmful Treatments With The Help Of Homeopathy

Profile Image
Dr. Sonia GuptaHomeopathy Doctor • 19 Years Exp.BHMS, MD - Homeopathy, Gold medallist , P.hD.(ADHD)
lybrate_youtube

Hello Friends,

I am Dr. Sonia Gupta, senior consultant homeopathic physician. Today we will discuss, why we should go for homeopathic treatment rather than surgery. According to research, 80% surgeries ko avoid kia ja skta hai. Surgery ek unnatural phenomena hai. Surgery hmare body ke physiology ko disturb kar deta hai. To hmari body ko heal hone ke lia jitna ho sake utna natural treatment ko priority deni chaiye. Like homeopathy treatment hua, physiotherapy hua, accupressure hua. Jitne bhi natural treatment hote hain, vo body ko natural cure krte hain or usme complications bhi nhi hote.

Other koi bimari hone ke chances bhi nhi rehte. Agar hum surgeries ke lia jate hain to uske baad me side-effects hain, complications hain. Body ki puri physiology disturb ho jati hai. Bhut sari diseases like piles ya bawasir bolte hain jisko, usme surgery avoid ki ja skti hai. Prostate enlargement hua, isme bhi surgery avoid kar skte hain. Within a one month apka pura prostate same size me vapis aa jata hai homeopathic treatment ke dwara., knee replacement hua. Knee replacement is like, ke aap kewal ek part ko replace kar rhe ho. Rather than apko tendons heal krne hote hain.

Homeopathic treatment ya physiotherapy ke dwara, tendons and muscles jo bhi injured ho jate hain life process ke sath, vo pure ke pure heal up ho jate hain. Or slip disc or disc prolapse hua, isme bhi hum sab surgeries ko avoid kar skte hain. Quki surgeries ke complications isme hut jyada hain is tarike ke cases me. Or jo disc prolapse hai vo homeopathy ke dwara puri tarike se thik ki ja skti hai. Or tonsilitis, sinus problem ke case me bhi surgery avoid ki ja skti hai. Kidney stones totally homeopathy ke dwara curable hai to koi jrurat hi nhi hai ki isme surgeries ki jaayein. Or ovarian cyst hua, uterine fibroid hai, isme bhi surgery avoid ki ja skti hai quki jo female ki body hai vo totally female genital organs pe depend krti hai.

Agar hum ovaries ko or uterus ko nikal dete hain to puri body ki puri physiology disturb ho jati hai. Uske baad complications start hona shuru ho jate hain body ke andar. To hume jitna possible ho utna hume surgeries ko avoid krna chaiye. Quki hmara lifestyle sedentary hai or hum hectic and stressful world me rehte hain to bhut sare joint pain ke cases bhi aa rhe hain. Jo joint pain ke cases old age me dekhne ko milte the, abhi young age me milte hain quki hum puri tarike se laptop, computer or mobiles pe dependent ho chuke hain. Or hmara sara time laptop and mobile me jata hai. Jiski vjha se hmare lifestyle diseases like cervical spondylitis, lumbar spondylitis, ankylosing spondylitis, backache, neck pain, ye sari problems aane lagi hain youngsters me.

Or rheumatoid arthritis, gout, ye sari problem to already existing hain hi. Osteoarthritis hua old age me, knee pain, heel pain, ye sab early ages me aane lage hain, 40s ki age me aane lage hain. Or ye sare joint pain k lia agar aap, western medicine pe jate hain, to aapke pas kewal ek hi option hai, pain killers lijiye or anti-biotics lijiye, joki apko bhut jyada din tak help nhi krta hai. Rather than agar aap natural treatment me jate hain like homeopathy or physiotherapy me to homeopathy treatment ek to jldi se jdli tendons and muscles injuries ko jo bhi cause hota hai, usko restore kar deta hai.

Or apka jo problem hai vo permanently cure ho jata hai. To cervical spondylitis, lumbar spondylitis cases me, slip disc ke cases me homeopathy bhut hi jyada effective hai. Or mera suggestion rhega logon ke lia ki jyada se jyada natural treatment ko opt kren. Quki hmara life ka moto hona chaiye restore the organ not to replace the organ. Replacing is not good for body for long term. If you have any query or question then you can consult these Homeopathy Doctor in Navi Mumbai and get the answer instantly.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Enlarged Prostate treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details