Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Homeopathy Treatment

Profile Image
Dr. Abha GuptaHomeopathy Doctor • 32 Years Exp.BHMS, Certificate of Post Graduation
lybrate_youtube

Namaskar!

Me Dr. Abha Gupta. Me South Delhi me practice krti hun last 25 years se. Meri general practice me har type ke patients se deal krti hun. Hum start krte hain bachon se. Bache homeopathic medicines ko like krte hain or unko dena bhi bhut asan hai. Mere pas maximum patients vo aate hain jinki complaints hoti hai ki unka bacha bhut weak hai, khata nhi hai, baar baar bimar pdta hai. High grade feverr bacho ko ho jata hai, pain ho jata hai throat me. Aise cases me dekha jata hai ki unke tonsils enlarged hain ya fir adenoids ki problem hai. Aise bachon me homeopathy bhut ache se kam krti hain. Bhut sare cases me surgery advice ki jati hai. But with homeopathic medicines, unki ye problem thik ho jati hai, unka growth bhi normal ho jata hai or vo baar baar bimar nhi pdte. Hum unke resistance ko bhi increase kar pate hain by giving right kind of medicines. Or ye medicines tab di jati hain jab bacha normal hai. Behavioural disorder ke bhi kafi patients aate hain.

Jaise apne dekha hoga ki bacha bhut zid krta hai. Apne hath pair tede kar lena ya fir saans rok lena. Usko hum breath holding spells bolte hain. Iske lia bhi homeopathy me kafi achi medicines hain. Bedwetting, peat me kidde hona bhi bachon me ek problem hai. Bottle feeding vale bachon me constipation ka bhi problem ho skta hai. Bache ko 3-4 days tak potty nhi hoti hai. Is reasons se bache k lia potty pas krna bhut painful ho jata hai. Bleeding hone ka bhi risk rehta hai. Homeopathy me iska bhi treatment kia jata hai. Constipation ki vjha se kayi logo me piles ka bhi problem ho jata hai. Isme bleeding bhi ho skti hai and non-bleeding piles ka bhi risk hai.

Kuch female patients ko menstrual irregularities ka bhi problem rehta hai. Iske symtoms hote hain periods na aana, ya bhut jldi jldi periods aana, painful periods bhi hote hain. PCOD bhi ek common problem hai. Iske lia homeopathy ke through bhut acha treatment kia jata hai. Females ki baat kren to breast problems ke lia bhi homeopathic treatment bhut acha hai. Breast me lump ho ya pain ho periods se pehle hona. Fibroadenoma and fibrocystic disease ladies ko periods se pehle pain hota hai and ye pain periods ke sath chala jata hai. Lekin is problem ke lia suffer krne ki zarurat nhi hai. Iska bhi homeopathic treatment possible hai. Skin disease me allergies ke alwa kuch auto-immune disorder like psoriasis, iska bhi homeopathic treatment available hai. Herpes ke patients ke lia bhi homeopathic treatment available hain. Isme hum patient ko koi strong medicines bhi nhi dete hain.

Not only in avcute herpes, in fact, postherpetic neuralgia problem hoti hai jisme patient ko kafi saal tak pain aate rehte hain, usme we have very good medicines. Iske kafi successful treatments avaialble hai homeopathy me. Jo patients 10-12 saal se is pain ko jhel rhe hain, with right kind of medicines, they can get the relief. Peat ki allergy like irritable bowel syndrome ya mental stress ho, uska effect unke gastric system me aa jata hai. Usme baar baar motion jana and loose motions hona, IBS ke lia bhi acha treatment hai. Iske alwa peptic ulcer, gastric ulcer ya chronic acidity me bhi hum patient ko holistically thik krte hain. Aaj kal ke time me migraine ke patients bhi aa rhen hain. Again this is a chronic and recurring problem. Headache hota hai jiske karan patient ke 2-3 working days khrab ho jate hain. Inke lia homeopathic treatment ke through bhut ache results hain. ith homeopathy we are able to decrease the frequency and intensity. Homeopathy se patient ko permanent solution mil jata hai. Chronic arthritis ke lia bhi homeopathy acha hai. Aap apna treatment agar mujhse krana chahen to aap appointment le skte hain.

Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Infection treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details