Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Homosexuality And Gender Identity Disorder

Profile Image
Dr. Vikas DeshmukhSexologist • 19 Years Exp.MBBS, M.D Psychiatry , Diploma In Psychological Medicine
lybrate_youtube

Hi,

I am Dr. Vikas Deshmukh, Sexologist, Mumbai. Today I will talk about homosexuality and gender identity disorder. Isko samjhane ke lia humein kuch chizen samajhna bahut jaruri hai. Sabse phli chiz sexual identity, general identity and next is sexual orientation. Sexual identity kya hoti hai. External sexual organs apna sexual identity btate hain. Isko internally chromosome ko check kra ke pata lagaya ja sakta hai. Next is gender identity kya hoti hai. Jaise ladka and ladki bade hote hain vo gender identify karne lagte hain.

Sexual orientation mein as a male mai kis ki taraf attract hota hun. Mujhe ladki pasand hai ya ladka ya dono pasand hain. Sexual orientation 4 types ke hote hain. Heterosexual sabse common hai. Ladke ko ladki pasand aana and vice versa. Homosexuality mein same gender pasand aata hai. Jab ladke ko ladka pasand hota hai toh use kehte hain gay and ladki ko ladki pasand ho toh use lesbian bolte hain. Next is bisexuality jismein dono gender pasand aa sakte hain. Next is an asexuality jise kisi mein interest nahi hot hai. Ismein se koi bhi orientation galat ya sahi nahi hai.

Bahut baar hum bisexual logon ki taraf ache se nahi dekhte. Aisa lagta hai ki koi abnormality hai. Mai nahi decide kar sakta ki mujhe kya banna hai. Ye bhagwan deta hai and naturally aap ke maann mein aata hai. Jaise aap ka complexion aap ke haath mein nahi hai vaise hi sexual orientation aap ke haath mein nahi hai. Aap ko kisi se bhi hate nahi karna hai kyuki koi chah ke bhi is chiz ko change nahi kar sakta hai. Jaise skin color and eyes color change nahi ho sakta hai.

Homosexuality koi bimari nahi hai. Aap kisi ke pass bhi chale jaiye par iska ilaj nahi ho sakta hai. Dusri chiz hai sexual identity disorder. Ismein kabhi kabhi patient ko feel hota hai ki vo galat body mein fus gaye hain. Unhein feel hota hai ki mai male body mein fus ho gaya hun toh agar mai female body mein hota toh jyada acha hota. Same females ke sath bhi aisa hota hai. Ladki ko ladkon vali chizen karna acha lagta hai. But fir bhi ladki ko sab samajhate rehte hain ki aise mat raho. But vo bhi chahti hai ki kash mai ladkiyon jaisa reh paati lekin aisa nhi ho paata hai. Kyuki jo uske sath hota hai natural hai not by choice.

Iska ilaj kya hai friends. Bahut sare log sexual surgery karate hain and hormonal treatment lete hain. Log apna sex change kara lete hain and apni life ache se nikalte hain. Purane zamane mein bahut sari chizon ko abnormal mana jata tha. Lekin ab aap ko bhi pata hai ki population kitna badh gaya hai. Aur ab time aa gya hai ki is population ko control kia jaaye. So, aise sare log population control karne mein help hi kar rahein hain. Unko galat nazar se dekhne mein, gussa karne mein koi point nahi hai. Ye sab natural hai. Just vo humse thode alag hain toh aap unko galat nazar se mat dekhiye. For more information, consult me through Lybrate.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Sex Education treatment

View fees, clinc timings and reviews

RELATED LAB TESTS

doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details