Hormonal Imbalance And Ayurveda
Hi,
I am Dr. Soonrita Taneja, Ayurveda. Today I will talk about hormonal imbalance and Ayurveda. Ye ek lifesyle issue hai aur iska ilaj hum ayurveda and pachakarma se karte hain. Sabse common problem hai female infertility aur ismein PCOD ek common disorder hai. Sabse pehle hum iske karan ke baare mein janenge. Iska sabse bada karan hai unhealthy lifestyle like lack of exercise, unhealthy food like junck food, processed food. IT sector mein lifestyle biological hisab se nahi hai. Ya toh inki night shifts hoti hain ya fir US shifts hoti hain. Body ko rest ka time nahi milta hai jo hormones ko balance karne ke lia bahut important hai. Hormonal imbalance kayi tarah ke symptoms body mein deta hai. Ye problem males mein bhi aati hai and females mein bhi aati hai. Lekin females mein iska reflection bahut jaldi aata hai. 6/10 girlss PCOD ki problem se suffer karti hain.
Iska major symptoms hai periods issue like irregular, heavy, absent, early, delayed periods, weight gain even after doing exercises. Iske alawa abnormal hair growth rehti hai like facial hair growth, stomach hair, skin tags, acne, hair loss from the head. Females mein male hormones banne lag jaate hain. Ayurveda mein hum koi hormones nahi dete hai. Hum natural procedures dete hain. Panchakarma se iska bahut ache results in milte hain. Ismein sharir ki shudhi karate hain. Hum vamana therapy dete hain. Medicated patient ko hum vomiting induce karate hain. Patients ke sare symptoms balance hote hain. Hormones ke level pe reflection khatam hota hai. Patient ke disturbed ovulation thik ho jaate hain. Sath hi sath patient ka weight loss bhi hota hai. Vamana karam karane se hi patient ka 8-10 kgs weight loss ho jata hai. Baki patient to patient depends karta hai kyuki hum sismilar results expect nahi kar sakte hain.
Hum virechan chikitsa dete hain jismein loose-motion patient ko induce kraye jaate hain. Ye pura ke procedure hota hai 10-15 days ka. Patient ko strict discipline follows karna hota hai. Virechan se bhi patient ka weight loss bhi hota hai. Aur sath mein uske badhe hue dosh bhi balance ho jaate hain. Ismein direct affect hormones pe aate hain and jab hormones thik hote hain toh patient naturally ovulation thik hota hai and fertility ki problem bhi naturally solve hoti hai. Humein koi bhi hormones nahi dete hote hain. Tisra common procedure hai vasti chikitsa. In 3 chizon se patients, ki maximum problems solve ho jaati hai. Unka ovulation normal ho jata hai. 3-6 months mein patients conceive kar lete hain. Jab humare pass natural procdure avaialble hain toh kisi ko bhi synthetic hormones ko leke apni body ko disturb kar ke infertility ke issue ke lia preshan nahi hona hai. KIsi bhi ayurveda consultant se consult karein aur apni body ko detoxify karake panchakarma se treatment leke ise solve kar sakte hain.
Thank You!