Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

How Ayurveda Helps Manage Sinusitis?

Profile Image
Dr. Sandeep MadaanAyurvedic Doctor • 21 Years Exp.MD - Ayurveda
lybrate_youtube

 

Good Morning friends,

I am Dr. Sandeep Madaan MD in Ayurveda, I have been practicing Ayurveda since 2004 at Delhi.

Today we will discuss about the Sinusitis, Sinusitis yaa jise Ayurveda mein hum kehte hain Peenas rog ya Jeerna Pratishyaya, bahut hi common problem hai jo ki baccho mein, javan vyaktiyon mein, bajurgoo mein, sabhi mein milti hai. Aksar hum dekhte hain ki kabhi kabhi jukaam bahut lamba chal jata hai aur dikkat ye hoti hai ki phir chehre pe sujan aana, chinke aana, kabhi kabhi bukhar bhi hona jaise dikkat hoti hai, toh yeh sab sinus ke karan hota hai. Sinusitis ko samajhne se pahle bahut zaroori hai ki hum jaane ki sinus hai kya. Hamare naak aur chehre ki hadiya bahut khokhley hoti hai, taki hum aaram se baat kar paye aaram se hum khana chaba sake, aur baki activity kar paye, yeh jo khokhlapan hota hai jo cavities hoti hai woh sinus kahlati hai. Aur sinus normally Mucus membrane hoti hai usme jisme halka-phulka sarav rehta hai, gila pan rahta hai lekin jab in cavities ke andar kisi obstructions se ya Mucus ya cough jise bolte hain Ayurveda mein, bahut adhik matra mein banne lagta hai, usme infection ho jata hai toh phir isse hum bolte hain sinusitis ya Inflammation of sinus cavities. Naak ke aas paas, aankhoo ke neeche, aankhoo ke piche, chehre mein upar ki taraf, frontal sinusitis isme kahin par bhi jo hai yeh Mucus ka jo hai sarav aadhik ho sakta hai, infection ho sakta hai, usse inflammation ho sakti hai. Ayurveda ke hisab se sabhi vyaktiyon mein cough ka nirman hota hai cough banta hai lekin kuch karno se jaise ki yadi vyakti adhik cough vardak aahar ka sevan karta hai, dahi ka sevan karta hai, urad ki dal ka karta hai, thandi jagah pe adhik rehta hai, dekhte hain log aksar air condition rooms mein, air condition cars mein ghumte hain, iske alawa jab vyakti ki immunity kuch kaam rehti hai aur kuch anya karan jaise kuch Polyps hona jaise uske karan naak ki jo hamari nasal cavity hai usme agar kuch Polyp hai koi growth hai toh usse bhi humein obstruction milti hai, Mucus puri tarah bahar nahi aata aur andar hi andar woh infection failata hai. Iske alawa ek aur bahut hi common karan hai DNS Deviated nasal septurm yani isse aam bhasha mein bolte hain naak ki haddi tedi ho gayi. Isse bhi jo hai hawa jo andar hum saans lete hain puri tarah uska flow nahi mil pata aur kahi na kahi lambe samay tak jane par ye sinusitis ka karan banti hai. Jab hum jukam se pidit hote hain, cough ya cold hume hota hai starting mein aur hum kuch anti allergic le liye jate hain, ya phir dhyan nahi dete tab bhi yheh, andar hi andar jo hai Mucus jo hai bahar na nikal ke andar hi jamta rehta hai aur woh bhi kahin aage badkar sinusitis ko kar sakta hai. Sinusitis allopathic view mein dekhe to 2 prakar ka hota hai, acute sinusitis jo ki recently hua hai 4 week tak ka aur chronic sinusitis, jo bahut lambe samay tak kai baar vyakti saaloo se iss bimari se pidit rehta hai dono prakar ki conditions mein Ayurveda mein achha upchar uplabdh hai. Sabse pehle hum jante hain ki iske lakshan kya hote hain, sinusitis se jo pidit vyakti hai usse baar baar naak mein avrodh lagega kai baar uski naak adhik bethi rehti hai, pani ka sarav nikalta rehta hai, saans zor se lene par gale mein piche ki aur balgam girta hai, chehre par, naak ke aas pass, aankhon ke upar, aankhon ke piche kafi swelling lagti hai, aur vyakti ko concentrate karne mein, kuch bhi padhne mein, likhne mein usko bahut takleef hoti hai. Iske alawa agar infection adhik badd jaye toh fever bhi aa sakta hai, chehre ke upar swelling bhi aa sakti hai, aur lambhe samay tak agar yeh bimari rahe toh baaloo ko effect karti hai, baal jhadte hain, safed jaldi hote hain. Isse problem yeh aati hai ki vyakti jo hai uska samanye jivan hai woh asth vyasath rehta hai. Isse upchar ke liye hum sabse jaroori hai hum cough wali cheezon ka kya tayag kare dahi ka seven, urad ki dal ka sevan, ande, cold drinks ka sevan ke alawa hum AC ka kam se kam istemal kare, apni immunity ko strong banaye, mausam mein aplabd jo sabhi fal-fruit hai uska sevan kare, phir bhi kuch khatti cheeze jaise pineapples hai, oranges hai, grapes hai, unka sevan kam se kam karna chahiye. Dusra aap tulsi ka sevan adhik kar sakte hain chai mein, doodh mein, jab bhi hum pite hain tulsi ke patte dal sakte hain. Trikatu ek bahut acchi aushadhi hai Ayurveda ki usme sonth, kali mirch, aur pipal 3 tarah ki jadibutiyo ka mishran hota hai. Usko hum ubal kar sevan kar sakte hain aadha chammach ki matra mein garam pani se bhi le sakte hain. Ayurveda mein bataya gya hai ek bahut acchi therapy jo ki kehte hain Nasya therapy, Nasya therapy mein hum isko hum nasal drop dala karte hain apne naak mein aur Shadbindu Tail hai, Anu Tail hai ya simple ghar mai aap chahe to til ke tail se ya sarso ke tail ka bhi apply kar sakte hain naak mein jisse ki hamari jo cavities hai uski jo usme koi avrodh utpan na ho, jo chipka hua sarav hai waha se aaram se bahar nikal jaye. Yoga therapist ki aap help le sakte hain jo ki aapko jal niti sikha sakta hai, gungune namak ke pani se jal niti karne se jo bhi obstructions hai, jo bhi jivanoo hai, kitanoo hai woh bahar nikal jate hain, bahut soothing rehta hai nasal Mucus membrane ke liye, aur sinusitis ki samasya kam hoti rehti hai. Agar aap kisi doctor say consult kare toh aapko bata payenge ki aap ki uss condition mein kya dawai di jati hai.

Yadi aap chahte hain humse consult karna to Lybrate ke through contact kar sakte hain, Thank you.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Sinusitis treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details