How Do Electronic Technology And Gadgets Affect Our Daily Life?
Hi!
I am Dr. Yukti Wadhawan from Delhi. Aaj hum baat karenge ki electronic gadgets and technology hamari day-to-day life mein kaise effect karti hai. Jaisi ki hum sab aaj kal mobile phones, smart phone, laptop, tablets, wireless devices bohot zada use karte hai, kahi na kahi ye sabhi gadgets hamari fertility jo ki conceive karne ki, pregnant hone ki shamta hai use affect karti hai. Jo cellular towers hai vo electromagnetic waves aur radio frequency waves emit karti hai jo ki fertility ko hamper karti hai. Routine activities jaise mobile phones pe bohot zada baat karna, ya mobile phones ko pocket mein rakhna ye dono infertility cause karti hai. Laptops ka use jab travel kar rahe ho tab karte ya ki aap usey lap par rakh kar use rahe hai, apni body ke contact mein lake use kar rahe hai ye bhi infertility cause karta hai. Lifestyle habits jaise ki high calorie foods lena jo ki obesity, diabetes cause karte hai, excessive exercise ya bilkul hi kam exercise karna, bike riders, fitness vagrah ke liye tight undergarments pehnna, smoking, alcohol ye sab bhi infertility ke causes hai. Infertility men aur women dono ko hi equally affect karta hai.
Men mein ye sabhi cheezein testicles ko affect karti hai jaha ki sperm bante hai, spermatogenesis hota hai vahi hamper ho jata hai. Sperm ka DNA hamper hota hai jiski vajah se uski regenerate aur repair karne ki shamta kam hoti hai. Women mein ye sab radiations jo hai ye miscarriages and abortion rates increase karti hai, foetus mein chromosomal and genetic diseases ka bhi probability badh jati hai. Agar hum soche ki isi tarah ka lifestyle chalta rahega to ane vale waqt mein infertility ka rate 4 times zada ho jayega. Ab hame kya karna chahiye jiski wajah se inka impact hamari day-to-day life mein kam ho. Sabse pehle jo bhi mobile phones, smart phone, laptops hai inka use minimal kar dijiye. Jab bhi aap office mein hai ya ghar pe hai mobile phones ko apni body contact mein mat laiye, unhe bahar rakhiye, table desk pe rakhiye, laptops ka jo use hai use desk par rakh kar kijiye, bed pe ya apni body pe rakh ke mat kijiye. Jab aap rat mein sote hai to tab inn sab cheezon ko apni body contact se door rakhiye taki inki radiations aap ko harm na karein. Jo log gyming karte hai, bike riding karte hai, cycling karte hai unhe thoda sa duration pe dhyan dena chahiye.
Tight-fitting undergarments nahi pehnne chahiye, especially in men the ideal temperature of testicles should be 3 degrees less than the body that is what is recommended. Jo aaj kal hamara lifestyle hai jisme hum kayi log exercise nahi karte hai, bohot zada junk food ka intake karte hai, smoking, alcohol peer pressure ki vajah se bhi hai; inn sab cheezon ko reduce karein because ye sabhi cheezen aap ki infertility ko cause kar sakti hai.
Thank you.