Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Role Of Insulin In Diabetes

Profile Image
Dr. Arun Kumar SinghEndocrinologist • 19 Years Exp.MD - General Medicine, DM - Endocrinology, MBBS
lybrate_youtube

Aap sabhi ko mera namaskar, mai Dr Arun Kumar Singh hoon Endocrinologist Delhi and Faridabad mein practice karta hoon.

Iss video ke madhyam se aap sabse mein insulin ke baare mein kuch jankariyan share karna chahta hoon, kyunki diabetes ek bahut hi badi mahamari ho gayi hai hamare desh mein aur diabetes se kam se kam 6 crore hindustani grast hain is bimari se or diabetes ki wajah se hazaro logo ko roz heart attack, paralysis, kidney failure hota hai.

Kidney failure ka number one jo reason hai diabetes hai hamare desh mein, diabetes ka ilaj nahi kiya jayega agar uncontrolled hai toh usse doosri bhi swasth samasyayen utpann hoti hain. So insulin jo hai hormone hai jo normal physiology main jisko diabetes nahi hai, jisko diabetes hi bahut hai main role hai insulin ka blood glucose control karne mein, carbohydrate metabolism mein. So insulin hormone jo hai woh pancreas banta hai or diabetes bhi isilye hoti hai ya toh insulin ki kami hoti hai shareer mein aur yad toh insulin jo hai sahi tarike se kaam nahi kar pata hai shareer mein.

So type 1 diabetes mein toh sabko insulin hi diya jata hai shuru se hai sabka upchar insulin se shuru kiya jata hai aur zindagi bhar jeevan bhar jaye insulin hi lete hain. Lekin type 2 diabetes jo generally vayasco mein hoti hai aur late age mein 30, 40 ke baad hoti hai to usme ilaj mein kai baar hum tablets ka istemal karte hain, shuruvat mein aur kuch saal baad so hai insulin advice karte hain kuch patient ko, kuch mareejo ko. Lekin insulin ke baare mein kai sare brahm hai logo ke beech mein, isse woh sahi samay pe istemal nahi karte hain aur woh phir baad mein jakar diabetes se hone wali samasyaon se joojhte hain aur pachtana padta hai. So insulin ke baare mein kuch brahm hai number 1, jisko insulin aap ko salah dete hain hum log toh patient darte hain aur bolte hain ki insulin lene se habit ban jayega, habitual ho jayenge agar ek baar insulin shuru kar diya toh band nahi hoga, jo ki galat hai.

Aisa nahi hai ki insulin lene se habit ban jati hai insulin kai baar temporarily use karte hain, kuch dino ke liye use karte hain aur sugar control ho jati hai uske baad band kar dete hain. Agar kisi ko diabetes kai saal se hai 10 saal se hai 15 saal se hai toh uski body me insulin banna lagbhag band ho jata hai, aur usko insulin ki zaroorat hoti hai isliye usko hum prescribe karte hain ki aap insulin lete raho usse habit nahi banti hai, uski requirement hoti hai healthy rehne ke liye

. Dusra, brahm hai log darte hain insulin ko istemal karne se bolte hain ki insulin se kidney fail ho jayegi, insulin se heart attack ho jayega toh yeh bhi puri tarah se galat hai, insulin kisi bhi body part ke liye nuksaan dayak nahi hai aur sach mein baat ki jaye toh insulin se aap, insulin ka sahi samay se istamal karke, aur apni diabetes ko niyantrit karke aap diabetes se hone wali samasyaon se bacch sakte hain. Insulin jo hai sabse prabhavi tarika hai diabetes ko control karne ka jo log samay se jab doctor unko bolte hain uss samay se insulin lagana shuru kar dete hain, istemal karna shuru kar dete hain woh inn sab samasyaon se bacch jaate hain, aur woh doosre log hote hain jo insulin bataya jata hai istemal karne ke liye aur woh nahi use karte hain baad mein jaake high sugar ki wajah se unko heart attack, kidney failure, aankhen kharab hona yeh sari samasyein hoti hain aur baad mein woh insulin ka upyog shurs krte hain, toh uska kuch fayda nahi, hai sahi samay par jaldi shuru kare toh jyada fayda hota hai.

Dusra hai, ab log insulin ko istemal karne ke liye tayyar bhi toh unko lagta hai ki bahut hi jatil prakriya hai puri, ghar pe kar pana bada mushkil hai hamare liye. Toh pehle ke samay mein aisa hota tha ab advanced technology ke sath mai kai sari nai-nai devices or technology ho gaee hai, toh insulin pen aa gaya hai aur insulin delivery system jo hai insulin ko istemal karne ka tarika bahut hi saral ho gaya hai thodi si guidance se, thoda sa medical supervision se, aapko doctor ya nurse training dedega aur aap aaram se ghar pe insulin ka istemal kar sakte hain aur ghar par manage kar sakte hain, koi jatilta nahi hai isme.

Type 1 diabetes ke bacche bhi insulin ko ghar pe khud se istemaal karte hain thodi si training ki jarurat padti hai uske liye. Fir kai log sochte hain ki insulin jo hai ekdum advance stage ya last stage diabetes mein use kiya jata hai, ya last option hai. Aisa bhi nahi hai kai baar jab bhi aapka diabetes control na ho raha ho tablet se ya aapka blood sugar level bahut high ho, jaise ki 300 ho 400 ho. Toh kai baar jisko diabetes first time pata chalti hai unke bhi blood sugar 300 aur 400 hote hain, toh iss samay pe insulin se hi sabse jaldi jo hai blood sugar control hoti hai, tablet se bahut samay lag jata hai aur ho sakta hai ki bahut samay baad bhi aap ka itna high sugarho, tablet se control na ho.

Toh insulin last option nahi hai, jiska blood sugar jab bhi bahut jyada hota hai tu usko insulin ki madad leni padti hai aur insulin se blood sugar control kar ke baad main unko tablet pe rakha ja sakta hai aur aapki baad mein sugar tablet se control mein reh shakti hai. Toh kai sare log ye bol ke katrate hain insulin istemal karne se ki shayad mujhse hai koi galti ho gayi ab main theek kar loonga ya unko ek sense of personal failure ya guilt, sense of personal failure hota hai ki main hi galti karta hoon nahi to control ho jayega woh aise bol bol ke katrate rehte rehte hain, aur insulin jo hai jab shuru kar lena chahiye ke main ek saal doh saal yeh hi bolke nikal dete hain. Toh unko samjhata hoon isme hamesha aapki patient ki galti nahi hoti hai, ye bimari hai aise hi kijo shuru mein thoda bahut insulin ban raha tha tablet dene se pancreas main aur insulin bana hai aur aapka diabetes control hua, lekin jaise jaise samay yeta jata hai 5 saal, 10 saal diabetes ke nikal jate hain pancreas ki jo ability high insulin banane ki dawaiyon ki madad se wo kam ho jati hai, aur pancreas insulin nahi bana pata hai.

Toh natural course hi hai bimari ka ki lagbhag 50 percent logo mein diabetes ke 5 yah 10 saal baad aapko insulin ki zaroorat padegi, chahe bhale aap apni jeevan shaili mein sab kuch sahi kar rahe ho, aap regular exercise kar rahe hain, aap khana-peena sahi kr rahe hain, lekin phir bhi aapko insulin ki zaroorat padegi, aur aapko insulin ki zaroorat padhte hi iska matlab yeh nahi ki aapne kuch galat kiya hai, yeh bimari hi aisi hai ki 50% logo ko insulin ki jarurat padti hai.

So aaj ke video mein bas yehi hai, agar aapko aur koi jankari chahiye toh aap kabhi bhi mujhse contact kar sakte hain, sunne ke liye dhanyavad.

Thank you for choosing Lybrate.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Sugar treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details