Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

How To Choose A Hospital?

Profile Image
Dr. Kulbhushan BhartiyaGeneral Surgeon • 37 Years Exp.MBBS, MS - General Surgery
lybrate_youtube

Hi

I am Dr. Kulbhushan Bhartiya laparoscopic surgeon. Is video ke madhyam se aapki sahi aspatal ki chunaav karne mein madad karunga. Kisi bhi aspatal mein jaa kar jab hum ab doctor ko dikhate hain to doctor ke parche par uski degree, uska registration number va naam hona chahiye. Jab vo aapko lab test aur dawaiyan likhta hai, lab test ki report par pathologist doctor ke signature jarur dekh lein kyunki inn testo ke aadhar par hi aapke rog ka nidaan hoga aur aapko bimari se sahi hone me madad milegi. Bharti hone ki soorat mein aap ye sunishchit karein ki mareez ke upar monitors lage huye ho, monitors ki madad se compounder ya doctor door baithe huye aapke raktchaap, aapke dil ki dhadkan aur khoon mein oxygen ki matra ko maap sakte hain aur yeh dekh sakte hain ki aapki stithi mein sudhaar ho raha hai ya nahi. Yeh bhi sunishchit karein ki ward, kamre, air condition, temperature controlled ho, hamare tapmaan ka hamare shareer ko theek rakhne mein bahut bada role hota hai aur navjaat bacho mein to yeh bahut hi important hain. Iske alawa roz chaddarein badli jayein, hamare ghar se bhi saaf ward aur aspatal ho kyunki vaha bahut saare rogi hote hain, safai ke abhaav mein humein ek doosre se rog fail sakta hai.

Agar hume operation ki zarurt pade to yeh sunishchit jarur karein ki operation konse doctor kar rahe hain aur konse behoshi ke doctor unki madad ke liye aa rahe hain. Behoshi ke doctor ka operation mein hona bahut jaruri hai, kayi jagah dekha gaya hai ki kuch aspatal behoshi ke doctor ko bina bulaye hi operation kar dete hain ya kayi extreme cases mein to unqualified logo ne bhi operation kar diye hain. Yeh bhi dekhiye ki aspatal ke pass ek acha CSSD department hai kya. CSSD department ki jimmewari operation me kaam mein aane vale aujaron aur kapdo ko kitano rahit karne ki hoti hai. Agar CSSD department apna acche se kaam nahi karta hai to hamare operation ke andar infection hone ka khatra kafi badh jata hai, hume iss cheez ka vishesh dhyaan rakhna hai ki aspatal ke andar emergency, ICU, operation theatre ke andar defibrillator naam ki machine ho, yeh jab bhi achanak hridya gati rukti hain to uske current deke chalu karne mein hamari madad karta hai.

Aspatal mein hume yeh bhi dhyaan rakhna hai ki ambulance ki vyavastha hai ki nahi, firefighting ki vyavastha hai ki nahi, fire fighting ke abhav mein kayi aspatalo aur hotelo ke andar kayi logo ne apni jaan gawayi hain. Biomedical waste ka acche se niptara hona chahiye kyunki biomedical waste apne rogon ko idhar se udhar faila sakta hai. Dosto, inn sab cheezon ka dhyaan rakh kar hi aapko sahi aspatal ka chunaav karna hai. Jinn aspatalo mein yeh sab suvidhaye ho, unme aap rates ka comparison kar sakte hain magar sirf rate ke aadhar pe aspatal ka chunav karna sahi nahi hai aur isse musibat ke samay aap ko nuksan ho sakta hai. Dosto isi cheez ke sath aap mujhe kabhi bhi contact karna chahe to lybrate ke through kar sakte hai.

Dhanyavad! Savdhan rahein, swasth rahein.

 

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Skin Health treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details