How To Choose Hair Transplant Clinic And Surgeon?
Hi,
I am Dr. Anuj Saigal, Dermatologist. Aaj me apse baat krunga hair transplant ke surgeon and clinic ke bare me ki aap kaise ek acha treatment and surgeon select kren. Kin chizon ka apko dhyan rkhna hai. Pehle apko dekhna hai ki aap surgeon ke sath kitna comfortable hain. Apki baat surgeon se hui hai ya counselor se. Apko surgeon ki qualification dekhni hai.
Dermatologist and plastic surgeons hi ye procedures kr skte hain. Or sirf vhi Drs kr skte hain jo is procedure me trained hain. Aap centre visit kriye procedure krane se pehle. Apko sari facilities dekhni hai. Is procedure ko krne ke lia sirf 2 techniques hain. FUT and FUE. Har ek technique ka apna use hai and patient pe depend krta hai. Islia aap apne surgeon se detail discussion kriye ki apke lia konsi technique better hai. Kayi baar 2 sittings dekni pdti hai. or kayi bar dono techniques ka combination use kia jata hai.
Kayi baar advertisements aati hai ki unlimited follicles or full head coverage. Apki information ke lia hum ek sitting me maximum 4.5k-5k grafts hi nikale ja skte hain. Kuch surgeons claims krte hain ki 8k grafts possible hai in 1 sitting but ye possible nhi hai. Kuch surgeon claim krte hain ki apko density vaisi hi milegi jaise apke head ke piche hai. But ye possible nhi hai. Transplant ki density thodi kam hoti hai but itni achi hoti hai ki apka scalp show nhi hota. Islia in sab baaton ka dhyan rkhen koi bhi centre or surgeon choose krne se pehle.
Thank You.