Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Aug 25, 2023
BookMark
Report

How To Get Rid Of Excessive Thoughts?

Profile Image
Dr. Shashi Bhushan KumarPsychiatrist • 27 Years Exp.MBBS, MD - Psychiatry
lybrate_youtube

Namaskar!

Mai Dr. Shashi Bhushan Kumar, ek mano-chikitsak hun. Aaj aapse ek jo badi common samasya hai OCD, iske baare mei mai baat karna chahta hun. OCD hamare samaj mei kam se kam 3-4% logon ko hota hai. Jo common symptoms hai OCD ke usmei ek toh zada saaf safai ka dhyan rakhna, baar baar haath dhona, hamesha man mein ek darr rehna ki mujhe kuch na kuch bimari lag jayegi. To iss wajah se vaisi kuch jagao pe jane se bachna. Yeh sab common lakshan hain. Iske alawa kuch aur lakshan hote hain jaise- vichar aata hai ki agar main aisa nahi karunga to hamare ghar mein parivaar ko kuch anhoni ho jayega. To vo 1 particular cheez kuch zaroor Karte hain aur baar baar karte hain.

Jab tak vo nahi karte tab tak unka man nahi maanta. Unhe pata hota hai ki hum yeh galat hain aur jo main kar raha hoon woh sahi nahi hai lekin woh ispe control nahi rakh paate hain. Jab control nahi rakh paate hain tabhi isko hum bimari ka roop maante hain. Iske alawa kuch symptom hota hai jisko symmetrical symptoms bolte hain. Symmetry ka symptom hota hai. Doubts hota hai, jaise ki aapne kadpe pehne hai to aapko lagega ki maine thik se nhi pehna hai. Ya baal aapne kangi kiya hoga toh aapko lagega ki kangi thik se nahi hua hai. Joote pehane hue hai to joote ki lace thik se nahi bandhe hue hain. Is tarah ke symptom hote hain, ki kuch chiz jo aap baar baar rakhte hain to lagega ki thik se rakha hua nhi hai, usko proper way mei hona chahiye.

Aap ko lagega ki nahi just right nahi hai usko dobara se usko rakhte hain. Iss tarah ke symptom hota hai jisse ki tab aapko lagta hai ki ye sab OCD ke symptom hain. Jab doubt hota hai kapdo ke baare mein, jooton ke baare mein to aap puchte hain ghar walo se, dosto se ki kya main thik lag raha hoon? Mere kapde thik hai ki nahi hai? Ya joote thik bandhe hue hai ya nahi? Agar aapko doubt hota hai toh bahut log baar baar unhein bandhte hain kholte hain. Bahut baat cheezo Ko dekhte hain. To is tarah se yeh cheezein lagataar unko pareshan karti rehti hai. Aur ye irresistible hota hai. Unko pata hota hai ki jo main kar raha hoon woh bakwas hai, iska koi meaning nahi hai. Lekin inn sab ke bawajood bhi vo usko band nahi kar paate hain. Aur chah kar bhi woh apne vicharo ko rok nahi paate hain aur vicharo ke badle Mei jo prakriyaein karte hain jaise ki baar baar haath dhona.

Ye vichar hota hai ki hamare hath gande hain uski vajah se vo baar baar haath dhote hain. Kuch chizein woh baar baar saaf karte hain, kapde saaf baar baar karenge, nahane mei bhi baar baar zada samay lagta hain unko. Unko pata hota hai ki jo main ye kar raha hoon woh theek nahi hai, uske bawajood bhi woh usko baar baar karte hain. Tabhi hum isko OCD mante hain, jab ye koi bhi vichar ya koi bhi symptom aap ko aap ki personal life mein, professional life mein ya routine life mein pareshani paida karne lage tab vo disease ka roop ho jata hai. Isko ham log bolte hain Socio-Occupational Dysfunction. Jab symptoms se Socio-Occupational Dysfunction hone lage tab aapko kisi bhi mano-chikitsak se milna chahiye.

Aur OCD chunki ek aisi bimari hai jo treat hoone mein bhi samay zada leta hai. Dawai jab tak 2-3 mahina nahi chalta hai tab tak isme koi sudhar nahi aata hai. Jabki depression mei, psychosis mei, ya dusre panic disorders ya dusre psychiatric disorders mei iss tarah ki samasya nahi hai. OCD mei response rate bohot poor hota hai aur zada der tak dawai khane ke baad faeda hota hai. Aur thik hone ke baad aapko iski dawai ko band karne ka koshish nhi karna chahiye. Kyunki agar ek baar relapse hota hai to phir dobara se thik hone mein bhi zada samay leta hai. Toh OCD ek bohot hi common samasya hai aur jab iss tarah ke common symptoms jo hamne ginaye hain uske baare mei agar aapko aisa lagta hai ki aap usse peedit hai, aapko aisa ho raha hai to aap zarur mile. Psychiatrist se mile. Aur kisi bhi psychiatrist se aap mil sakte hain Apne aas paas ke area se ya jahan se aapko pasand hota hai.

Thank you!

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Depression treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details