Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

How To Prevent Sexual Disorders?

Profile Image
Dr. Imran KhanSexologist • 17 Years Exp.B.U.M.S, PGD (Sexual Medicine & Councelling)
lybrate_youtube

Hello,

This is Dr. Imran Khan, sexologist and has a special interest in preventing disease. Aaj ka mera topic hai ki bimariyon se kaise bacha jaye. Sexual disorder ho ya koi or problem ho, sabse bachna bhut jruri hai. Bimariyon ke ilaj pe bhut jyada jor dia jata hai. Lekin unke preventions pe utna kam nhi kia jata hai. Ye jyada acha hoga ki hum koi bhi bimari hone se bacha len. Aap sexual problem se kaise bach skte hain? 4 alphabets yaad rkhiye. SIDE: S - Stress, I - Interpersonal relationship, D - Diet, E - Exercise. Koi aise 4 cause hote hain jo bimari ki vjha bante hain.

Hume patient ka lifestyle dekhna chaiye. Bimari bhi hume hmare lifestyle ki vjha se hi effect krti hai. Stress is the killer of sexual health. Stress ke types hain - mental and physical stress. Like job ka pressure, financial pressure. Aap uljhe rehte hain or kafi preshan rehte hain. Apko apne routine ka nhi pta hota. Isko manage krna bhut important hai. Isme anxiety, depression, psychosis. Manage krne ke lia best way hai ki aap sexologist se milen jo apki lifestyle manage krne ke lia advice de. Interpersonal relationship: apke partner ke sath apka relation kaisa hai. Relation me performance anxiety bani rehti hai. Ye bhut important hai ki hum isko smjhen.

Diet - Hmari diet unhealthy hai. Log fast food prefer krte hain. Fast food vo bhi hai jo nutritious nhi hai. Packed food me artificial preservatives hote hai, color and chemicals hote hain. Ye sab toxic hote hain. Apke endocrine ko disturb karte hain. Sugar and sweets avoid kren. Refined oil chor den, ye processed oil hota hai. Ye arteries ko damage krta hai, Or erection me bhi problem aati hai. Heart damage hone ka risk hota hai. Refined flour (maida) avoid kren. Packaged food or junk food avoid kren. Tobacco and alcohol quit kren.

Exercise - Hum apni physical activity ko bhul gye hain. Hum apna maximum time gadgets use krne me waste kar dete hain. Exercise kafi hai ek achi life jeene ke lia. Hafte me 6 days and 45 mins koi bhi exercise kar skte hain aap. Ye general points apko describe kia gye hain. Baki sab apke case pe depend krte hain. Agar apko or information chaiye to aap qualified sexologist se consult kren. Aap mujhse bhi Gurgaon me consult kar skte hain. Apko detailed information di jayegi. Doctor se milke apko kafi benefit hoga. Or ye apki health ke lia bhut important hai. Sexual problem ko ignore na kren. Initial stage pe bhut jldi thik ho jate hain. Jitna aap ignore krenge or research kr k khud ko thik krne ki koshish krenge, apka lia ye acha nhi hoga. Google pe sari information generalised hoti hai. Har kisi ka cases person to person vary krta hai. Islia doctor se consult kren. Apne partner ko khush rkhiye. Apka relationship bhut important hai. Apka relationship apke mental health ko effect krta hai. Hmare yhan HIV diagnosis bhi dia jata hai. STDs ka treatment bhi mere clinic me apko dia jayega. Marriages ka physical and mental benefits hain.

Thank You.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Sexual Dysfunction treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details