Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Aug 30, 2023
BookMark
Report

How To Treat Yourself With A Healthy Lifestyle?

Profile Image
Mr. Santosh PandeyAcupuncturist • 25 Years Exp.Bachelor in TCM, Diploma in Acupuncture, Diploma in Naturopathy & Yogic Science (DNYS)
lybrate_youtube

Hi,

I am Mr. Santosh Pandey, Acupuncturist so, aaj kal jo samay hai, jis tarah se humare pass question aate hain like youth are asking about migraine, cervical pain, acidity problems and indigestion or gases, us se bhi jayada questions hain IBS ko leke. So, aisa kyun hai? Ek toh hai lifestyle disorder ki vajah se. Dusra hai unawareness food ka. Agar dekha jaye toh ye koi bimari nahi hai. Isko agar hum bimari samajh ke ilaj karte hain toh bohot sara samay lagta hai. Bohot sari dawaiyan khani padti hai. Bohot sare reports nikalne padte hain. Humne mila kar dekha hai ki reports mein aisa kuch samajh nahi aata hai doctor ko ki exactly kya ho raha hai. Which means something is wrong with our lifestyle. So, we need to understand our lifestyle. Which type of lifestyle we should live? Iske liya humein kya karna padta hai. Apna pura dhayan apne khan paan, rehen sehen aur exercise per lagayein. Puri raat hum jag rhein hain and pura din hum kam kar rhein hain. Bohot sari parties karte hain and junk food khate hain jiski vajaha se bohot sari bimariyan pilled up ho jaati hain. Joki koi bimari nahi hai. We are seeing so many patients that they are coming with so many results but there is nothing. So, iska matlab kya hua? Humein kya karna chaiye. Kis tarah se aware hona chaiye. Uske liya sabse jruri hai apne khan-paan ka dhyan rakhna.

Kis tarah ka food aap ko suit hota hai, use samajhna. It is actually not very difficult. If you are aware, you will come to know. So, friends, aaj ka mera topic isiko mene choose kiya tha kyuki bohot sare log mere pass aate hain aur is tarah ke questions rakhte hain. Toh jo mene dekha after treating so many cases like thousands of cases we are handling and what is the outcome. Just lifestyle. So, iska matlab yahi hua ki agar aap ko apne aap ko sawasth rakhna hai, toh sabse pehle janna hai ki aap ke sharir ko kya suit hota hai aur kya suit nahi karta hai. Kuch log hain jo bolte hain ki main raat bhar kam kar sakta hun, main din bhar kam kar sakta hun, unko kuch nahi hota hai. Aise bhi kuch cases hain. Lekin jayada din tak is lifestyle ko nahi chalaya ja sakta hai. Iska matlab ye hai ki jis tarah se aap kam karte hain usi tarah se aap ko apne sharir ko aram dena hai. Jis energy ko hum kamate hain, vo long lasting honi chaiye. Jo humare parents ke through humein energy aayi hai, usko hum bohot jaldi khatam karte ja rhein hain. Bimariyon se humara system gadbad ho jaata hai. Body acidic ho jaati hai.

Iska matlab migraine and then muscular pain, eyes related disorders and seen a lot of cases in the UTI because we are not drinking enough water. So, doston, morning aap pani ke sath shuru karein. Kam se kam 2 glass pani peena chaiye. Healthy breakfast karna chaiye. Fruits and vegetables include karein apni diet mein. Baki jo aap ko acha lagta hai o khayein but moderate way mein. You should understand your body system. According to that you should plan your eatings. Agar suke baad bhi aap ko lagta hai ki ye bhi chizen mere ko set nahi ho rahi hain toh uske liya kisi expert se salah lein. Rahi baat agar aap bimar ho gaye ya aap ko bohot dard ho raha hai aur samajh mein nhi aata hai ki kya karien toh uske liya sabse pehle aap ko koshish karna chaiye ki aap apne aap ko natural tarike se treat karein. Aap ko breathing exercises karni chaiye. Yoga karna chaiye aap ko. 45 mins regular walk karein. Iske alawa bohot sari natural therapies hain like we are doing for migraines. We are expert into acupuncture. We do therapy to detox your system well. Jaise jaise aap ki body detox hoti hai, heat kam hota jaata hai. Aap ke sharir se pain ki matra kam ho jaati hai. Uske alawa insomnia ki problem kuch logon ko ho jaati hai. Aap ki elasticity khatam ho jaati hai. Iska matlab aap apne sharir me bimariyon ki dawat dete hain. So, try to be very healthy. Do regular exercises. Eat healthily, drink lots of water and best thing smile.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Balance Exercises treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details