Hyperemesis In Pregnancy
Hi,
I am Dr. Preeti Kale, Gynaecologist. Today I will talk about hyperemesis in pregnancy. Ye common problem hai during pregnancy. Common logon me pregnancy detect karne ka matlb hai periods ka rukna and vomiting hona. Agar vomiting jyada ho to iska effect pregnancy pe padta hai and you have to be worried. Agar aapko vomiting din me 10-15 times ho rhi hai, khate hi vomiting ho jaye to ye problem hai. Iska cause hormonal imbalance hai. Vomiting me stomach ka content bahar aa jata hai.
Apko dehyadration ka problem bhi shuru ho jata hai. Apko hypotension, ketoacidosis ka bhi problem ho sakta hai. Ye apke kidney and liver ko effect karti hai. Hum major case me patient ko admit karne ka advice karte hain. Patient ko hum starting me oral medicines se treat karne ki advice karte hain. Apko apna sugar and salt content kam karna hai. So, apke first 3 months bahut crucial hote hain. Patient ko every hour thoda thoda khana chaiye. Watery content and fruits apko jyada lene hain. Isse aapka dehydration kam hota hai. Apko solid se jyada liquid content lena hai.
Thank You!