Improve Posture For A Healthy Back
Namaskar!
Mai Dr. Devesh, consultant surgical Neurology. Aaj apko kamar dard ke bare me btana chahta hun. Kamar dard aaj ke zamane me bhut hi common ho gya hai. Pehle iske lia 40 se upar ke marij aate the lein aaj 20 saal ke bache bhi is bimari se grasit hain. Kamar dard hone ke bhut sare karan hain. Iska karan ye hai hmari lifestyle. Hmari lifestyle bilkul bhi shi nhi hai. Bilkul bhi healthy nhi reh gyi hai. Jiski vjha se hum bhut hi kam umar me kamar dard se garasit ho jate hain. Kamar me dard hone ke bhut sare karan hain. Ek apka dincharya shi na hona, apka uthna, baithna, sone ka tarika galat hona. Dusra aap lambe samay tak baithe hue hain. Prolonged sitting is not good. Aap kbhi gir gye hai jis vjha se apki rid ki haddi me kisi trha ki koi chot aa gyi hai. Ya apka kisi trha ka cancer hai jo apki rid ki haddi me phuch gya hai. Ya kamar ki jo haddiyan hai or andar jo taar hai, usme kisi trha ki ganthe banti hain. Usme bhi kamar dard hota hai.
So, kamar dard is not a disease, it is a full syndrome. Iska bilkul ache se evaluation, along with MRI or x-ray ki help se proper diagnosis bhut jruri hai. Jyadatar 80% kamar dard ke patient apne aap thik ho jate hain with the routine treatment, proper rest, proper way in the sitting posture. Llekin jo bache hue 20% log hain usme utni sudhar nhi hoti. Or usme se bhi kuch logon ki final surgery krni pad jati hai. Jyadatar patients sirf dawa se hi thik ho jate hain. Jo degenerative spine or spondylitis bolte hain, sume hota kya hai ki rid ki haddi ki bich me jo disc hoti hai, ye fut ke bahar aa jati hai or jo aas pass ki nasen hoti hain unme dabav hone lgta hai. Is dabav ki vjha se hi, jis part ke pair ko supply kar rhi hogi, jhan niche ja rhi hogi, us hisse me dard jata hai. To kamar ke dard me ye janna jruri hai ki presentation kya hota hai. Dermato neurological examination is mandatory in all the spine patients.
Is se hume pta chalta hai ki clinical diagnosis kya hai. Agar is trha ke 100 mariz kia jaye jisme disc futti hai to usme se 80 logon ki disc, agle 3-4 hafton me ke andar apne aap kam ho jati hai or nus ka dabav khatam ho jata hai. Ye patient apne aap thik ho jate hain with normal treatment. Lekin bache hue jinme disc ka dabav bna rehta hai, usme disc ko nikalna pdta hai. Us surgery ko discectomy bolte hain. To piche se hum haddi ko katte hain or iske bhut sare tarike hain disc nikalne ke.
Dusra endoscopic tarika hota hai. Usme bhi hum ise thoda sa katte hue, andar jake ise nikalte hain. To ye sare tarike hain iske management ke . Ye to hui management ki baat. Prevention is always better than cure. To prevention ke toor pe apni lifestyle shi bnaye rkhen. Apna vajan control me rkhen apni height ke hisab se. Or morning walk ya koi bhi physical exercise jo apko suit krti hai like yoga, morning brisk walk, aerobics, regular gym hogya. But gym me koi bhi heavy weight ya power exercise nhi krni hai. Only jisme apka mobility jyada hai taki apki spine pe vjan na aaye. Ye sari baaton ka agar aap dhyan denge, hopefully apki problem delayed hoti jayegi. Aani sabko hai problem because these are degenerative spine. Umar ke sath spine ghista hi ghista hai. Lekin jistna aap ise ache se handle krege, apke spine ki life utni hi jyda hogi.