Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Indigestion

Profile Image
Dr. Jiva AyurvedaAyurvedic Doctor • 26 Years Exp.BAMS
lybrate_youtube

Doston, indigestion, badhajmi, ajeern, apacch yeh naam aksar apne sune honge. Kya hota hai isme aap jo khana khate hain wo khana purn roop se pachta nahi hai, jab khana pachega nahi toh anek prakar ke symptoms aapko ho sakte hain. Aapko pet mein gas ho sakti hai, aapko acidity ho sakti hai, pet me bharipan ho sakta hai, pet mein dard bhi ho jata hai of course undigested food jab hota hai hamare small intestine ke andar toh wahan par ek vishala tatva banta hai jisko hum aam bolte hain. Is tarah se hum apne pachan ko thik kar sakte hain? Simple cheeze hai jo aapki rasoi mein maujood hai, yadi aap hara dhaniya aur hara pudina le uska dono ka mila karke sambhag mein uski chatni bana lijiye thodi si taji adrak bhi peesenge thoda sa aur accha taste bhi aayega aur nimbu thoda sa usme daliye, khatta taste bhi aayega very tasty khane ke saath kha sakte hain pachan ke liye bahut achhi hai. Sauf, jira, dhaniya aur pudina sab barabar-barabar 20-20 gram le lijiye isme 10 gram aap milaye kala namak aur 5 gram isme milaye hing aur thoda sa anardana 10 gram ke kareeb woh bhi isme millaye bahut tasty aap ka churan banega. Tasty bhi hai digestive bhi hai, yeh aap bana sakte hai bilkul. Bhojan se pahale taje adrak ke tukde thoda sa nimbu ke ras mein mila kar ke unko sevan karne se bhi aap ki agni bhi pradeept hoti hai aur aap ka bhojan bhi thik se pachta hai. Lekin dhyan rahe ki hamesha jo hai uchit matra me bhojan karna hai, aisi cheeze combine na kare jo bahut heavy hai aapas mein, idhar mithai bhi kha rahe hain, fried cheeze bhi kha rahe hain aur bahut jyada garisht bhojan bhi sevan kar rahe hain aisa nahi karna hai. Aur niyamit roop se aapko exercise zaroor karni hai, exercise karne se bhi hamara pachan thik hota hai aur hamari agni jo hai woh majboot hoti hai. Toh choti-choti si cheeze hain lekin bahut important hai hamara pachan sansthan. Yadi hamara digestive system thik rahega, toh hum bahut sare rogo se bilkul apne aap ko bacha karke rakh sakte hain.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously

TOP HEALTH TIPS

doctor

Book appointment with top doctors for Indigestion treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details