Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: May 22, 2024
BookMark
Report

Infectious Diseases

Profile Image
Dr. Ruby BansalGeneral Physician • 27 Years Exp.Fellowship HIV Medicine, MD, Observership HIV
lybrate_youtube

Namastey,

Mera name Dr. Ruby Bansal hai. Me lifestyle disease and infection disease visheshagya hun. Aaj kal ki infectious disease jo sabse jyada badhti ja rhi hai jaise ki sexually transmitted disease, HIV, Hepatitis B, C. Ye disease aaj kal ke time me kafi badhti ja rhi hai. Jo unprotected intercourse, infected blood or drug users ko hoti hain. Or fir preganct lady se bache ko bhi ye bimari ho skti hai. Ye bimari aaj kal ki young generation me kafi dekhi ja rhi hain. Uska karan hai experimental desires. Transgender me ye bimari jyada ho skti hai. In bimariyon ko treat krne ke lia bhu sare kam ho rhen hain. Lekin kuch log jo samne nhi aate hain, mera ye manna hai ki unko samne aana chaiye quki aaj kal koi bhi bimari la-ilaj nhi hai.

HIV ko dekhte hi log darr jate hain. Lekin aaj iska ilaj sambhav hai. Ye ek diabtetes ki trha hi hai or bhut ache se iska management possible hai agar log dawaiyan khayein. But uske lia sabse important baat hai ki test krana. Kafi logon ko pta bhi nhi hota ki unhe aisi koi bhi bimari hai jiske vjha se sexual act me ye transmit ho jati hai. Har ek ko is type ke test krane chaiye. Unko bhi ye test krana chaiye jinhe tuberculosis ka problem hai. Unhe bhi ye test krana chaiye jinko fever, diarrhea, pneumonia baar baar hota hai.

Skin infection like herpes, unhe bhi HIV test krana chaiye. Jitna jldi test se is bimari ka pta chalta hai utna jldi hi iska treatment possible hota hai. Test hain: PEP & PrEP. Agar apka unprotected contact kisi se bhi ho gya hai to immediately in test ko krayein or doctor se salha len. Iska test 2-72 hours ke andar ho jana chaiye. Iske through is bimari se bacha ja skta hai. PrEP medicines un cases me patient ko di jati hai jisme partner me se kisi ek ko HIV ho or dusre ko na ho, transgender and commercial sex workers ko bhi ye suggest kia jata hai. Condom ko use krna bhut jruri hai. Agar inme se koi bimari ho jati hai to ghabarayein nhi or uska immediately treatment len. Treatment ke lia aap mujhse contact kar skte hain. Apko in sabhi bimariyon se puri trha se chutkara mil jayega. Life span badh jata hai and quality of life bhi improve hota hai. 35 saal ke log bhi is bimari se garsit hain or aaj bhi bhut achi awastha me. So, ye na sochein ki lailaj bimari hai or ye na sochen ki ab kuch nhi ho skta hai quki ye galat soch hai. Aaj kal HIV positive ke bache bhi aram se hote hain. Mere pas aise couple bhi hain jo HIV positive hain but bache unke HIV negative hue hain.

Is bimari se ghabrane ya darne ki jrurat nhi hai. Is bimari se ladne or samne ane ki jrurat hai. Apko is se related kuch bhi puchna ho to aap mujhse contact kar skte hain.

Dhanywad.

chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for HIV Counselling treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details