Insomnia
Dosto, anindra ya insomnia bahut common problem hai khas taur se aaj kal jo mansik tanav logo ko hai ya mind mein aur jyada kitni pareshaniya hai uske karan hamara jo brain hai woh activate rehta hai,hyper rehta hai, relax nahi kar pata jiske karan neend nahi aati. Bahut sare logo ki problem hai choti si samasya ban jati hai mind mein kuch vichar shuru ho jata hai, toh neend nahi aati hai aur neend na aane se bahut sare nuksaan hame hota hai aur hamare yahan kehte hain sleep is the diet of your mind, agar mind ko neend se hi shakti milti hai aur neend nahi achi nahi hai ki toh mind aapka thoda sa jo hai aur kamzor ho jayega. Not only for the mind, for the body sharir mein kaafi saare cleansing hota hai jab hum sote hain raat ko aur sharirik shakti hai, woh bhi hamari badhti hai use. Toh neend yadi aapko nahi aati hai to kya kar sakte hain kuch cheeze hain choti choti si, try kariye bahut fayde mand hain of course hum baar baar aap ko ek cheez kehte hain ki koi bhi takleef ho toh aapko hamare jeeva ke ayurvedic doctor se paramarsh lena chahiye kyunki ayurved mein har rog ka chikitsa bahut acchi uplabdh hai, aur har rog ka ilaj hamare jeeva mein hota hai. Toh neend ke liye kya kar sakte hain, raat ko sone se pahle thoda sa talvo mein malish kare thoda sa tel laga sakte hain, badam ka tel laga sakte hain, desi ghee se bhi malish karle aur thoda pindliyon mein bhi malish karle, usse neend achi aayegi. Sham ko jab office se aap wapas aate hain ghar par sabse pehle aakarke, sab cheez totally band karke thoda shant mahaul kare shav asan paanch se saat minute ka shav asan kare, shav asan se aapka pura body, mind dono relax ho jayega. Uske baad sir mein thoda sa tel ki malish kare, champi jisko bolte hain aur phir uske baad snan kare, ye karne se aapka poora body aur mind dono relax ho jayenge aur phir uske baad stimulation nahi chahiye, coffee nahi peena hai, chai nahi peena hai, alcohol nahi peena hai, smoking nahi karni hai, tv, computer, mobile se bhi thoda sa perhez kare bahut jyada prayog na kare, toh phir aapko neend bahut acchi aayegi. Ofcourse neend aane ke liye raat ko sone se pehle thoda sa aankhon mein gulab jal daalen usse bhi aapko fayda hoga, aur jaisa maine shuru mein kaha ke koi bhi takleef hai toh ayurvedic chikitsa hai hamare paas inn rogo ki uplabdh hai.