Insomnia (Sleep Disorder)
Hello friends,
I am Dr Vikas Deshmukh.
I am a psychiatrist and sexologist working in Manovikas Clinic at Vashi, Sector 17.
To aaj hum baat karenge Insomnia ke baare mein, Insomnia yani neend kam aana toh aaj kal mai jo patients dekhta hoon usme every alternate patient mai insomnia ka dekhta hoon neend ki takleef hai. Toh itni takleef ye problem badd gayi hai stress aur tanav ki wajah se jaise ki aajkal is century ko century of insomnia bolne lage hai. So jab neend aapko nahi aane ka koi bada karan nahi hai jaise ki depression, anxiety, or psychosis toh mai neeche jo aapko bata raha hoon us tarike se aapka neend aane ke pattern mein sudhar kar sakte ho. Sabse pahla cheez hai yeh ek fix routine sone ka banana sone ka ek fix timing rakho, uthne ka ek fix timing rakho, bahut sare patient bolte hain ki sir nahi kal raat ko teen baje tak neend nahi hai toh hum nau-dus baje tak sote rahe. Initially aapko thoda taklif hoga jaldi uthna main agar neend late aati hai toh bhi thoda sa aapko thakan lagega lekin do teen din mein agar aap uss fix time pe uthna chalu rakhoge toh dheere dheere neend jaldi aayega, agar aap aisa nahi karte ho aur aap late uthte ho toh aap apna need complete karte ho late tak so ke aur phir aapko neend usi time pe aana chalu hoga ki late sona or late uthna. Toh fix time pe uthna bahut zaroori hai aur fix time pe sona bhi bahut zaroori hai. Dusri cheez sone se pehle ek apna ek fix routine rakna jaise ki thoda sa doodh peena, kisi kisi ko doodh peena achha lagta hai, khana thoda jaldi khana bhi zaroori cheez hai, gungune pani se ya warm water se baath lena, relaxation karna, reading karna ye sab cheeze aap kar sakte ho, dusri cheez hai ki sone se ek ghanta pehle saree light aap dim kar dijiye aapke bedroom ka wagera tv, mobile, gadget koi bhi dekhna band kar dijiye kyunki light agar jab dim hoti hai, andhera jab chane lagta hai toh apna body chemical secrete karta hai apna brain, jisko bolte hain melatonin iska matlab woh apni body ko indication deta hai ki abhi aap ko thakan ho gayi hai abhi aap ka sone ka time ho raha hai, ab sona chahiye. Toh iss hisab se sleep ya neend dena body chalu kar deti hai, lekin agar aap bright light mein kaam karoge toh brain ko aisa indication hota hai ke nahi nahi abhi din hi hai, abhi bhi kaam karne ka time hai aur woh melatonin secrete nahi karta hai aur aapko fresh feel ho sakta hai, energetic feel ho sakta hai aur main aane mein dikkat ho sakti hai, iss cheez ki wajah se ek ghanta pehle saree lights dim karna bahut zaroori hai. Sone se sabse important cheez ki raat mein che baje ke baad chai, coffee, cold drink ya heavy exercise na kare, uski wajah se thoda excitement level barta hai aur aapka neend aane mein takleef ho sakti hai. Bed khali neend ke liye bed sleep and bad association baniye ki bed pe jaana hai matlab sona hai, bed par baith ke aap koi office ka kaam kar rahe hai, koi household work kar rahi hai yeh sab cheeze mat kariye, brain ka aur bed ka association aisa rakiye ki bed pe jana hai matlab sona hai, toh ek habituation ho jata hai woh ek neend ke sath association ho jata hai bed ka ki aane ke baad apne aap brain tyari karta hai sone ki, theek hai baki kaam aap baki jagah pe kijiye bed pe mat kijiye. Third thing sone se jab aap sone ke liye jayenge aur aapko neend nahi aati hai toh baar baar aap watch dekhna band kijiye clock watching stop kijiye theek hai iski jagah thoda sa breathing techniques karna, thoda sa mind relaxation karna, meditation karna, ya koi book padna dim light mein, ya koi jaise aap soothing music sun sakte ho ye sari cheeje aap kar sakte ho, dusri cheez koi bhi drug abuse karna alcohol jyada ye karna ye sab cheeze kum rakhna zaroori hai, temperature jo hai room ka hai woh cool rehna zaroori hai, cooll temperature bahut zaroori hai jab aap sote hain 22 se 25 degree ke beech mein rakhiye kyunki aap sabko pata hai ki sardiyo mein ya jab winter season hai usme humko bahut acche se neend aati hai. Toh ye kuch techniques hai neend thik se aane ke liye, agar iske bawajood bhi aapki neend, ha aur ek cheez hai ki din mein thoda exercise kijiye, exercise generally 30 minutes to 45 minutes 5 days in a week karna chahiye, thoda body mein thakan rahega toh neend bhi aapko bahut acche se aapayegi.
Toh yeh saare tips mai aap ko dena chahta tha acchi neend ke liye uske alawa agar aapko jyada problem hai aur jyada information chahiye toh please mujhe contact kijiye lybrate.com se.
Thank you very much for your patient listening.