Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Internet Addiction Disorder Effects

Profile Image
Dr. Manish JainPsychiatrist • 23 Years Exp.MD - Psychiatry, MBBS
lybrate_youtube

Hello friends,

Mein Dr. Manish Jain hn aur me ek consultant psychiatrist hn.

Aaj mein jis topic p aap logon se baat krna chahta hn wo ek interesting topic h aur bht common esa topic h jo bht commonly humein affect kr rha h, Internet Addiction. Time and again mery paas esy patients aty hain jo internet ya gaming addiction k bemari se effected hain. Is ko hum internet addiction ya gaming addiction bhi bolty hain.

Kuch criteria hain - jb wo meet hony lg jaty hain , tb hum keh skty hain k ye addiction h. To kuch esy criteria ho skty hain k aap bht zyada Samay internet k bitaty ho. Generally kuch time bd esy hony lg jata h k log jb pochty hain k aap itna samay internet p bitay ho , to log is k bary me jhoot bolny lg jaty hain k hum inta Samay ni, agr wo 6 ghanty bitaty hain to wo 1 ghanta boleygy, 3 ghanty boleygy.

Phr jo real life contact hain, wo real life contacts chor k wo log internet p profiles bna lety hain. Internet p friends lety hain aur jo human contact h wo km ho jata h. Agar internet se door rkha jaye in logon ko to on me depression k anxiety k, headache k, irritation k ye sary symptoms aa skty hain.

Then ek cheez jo ho skti h k jo personal relationships hain wo kai baar kharab hony lg jati h because aap excessive time internet p bita rhy ho. Log fake profiles ki baar create krty hain fake ID’s create krty hain aur os k through friends bnany ki koshish krty hain. Is se consequence kya ho skya h?

Isolation ho skta hai - Isolation is trh hse ho skta h k aap actually ek room me bnd huay ho aap baahar ki duniya nai dekh rahey, aap logon se rishtey daron se ni mil rhy aue aap infact Depression ki shikaar ho saktey ho.

Ek aur cheez wo ye h k jesy ye barhta jayega, to esa ho ksta hai ki aap ka jo profession h wo hamper ho skta h, aap k jo social relations hain wo hamper ho skty hain, aap k jo personal life h, wo hamper ho skti h. To isliye humien is ko identify krna hai aur identify kr k humien is ke liye treatment seek karni hai. Is treatment k generally psychiatrist and psychologists karengey.

Is baare me aap ko ya aap k near k logon ko kuch hai, to aap mere se contact kar skte hain Lybrate ke through.