Internet And Gedget Addiction
Hello Friends!
I am Dr. Vikas Deshmukh. Aaj hum bat krenge addiction ke bare me. Ise internet and gadget addiction kehte hain. Aaj hmara topic hai internet addiction disorder. Addiction fulfil krne ke 4 chizen hoti hai. 1st hai pleasurable things, jisse insan ko khushi mile. 2ns is tolerance. Khushi milne ke lia jo time period hai vo badh jata hai. 3rd is withdrawal. Jab use ye sab addiction krne ko nhi milta hai to patient irritate hota hai, restless hota hai. 4th is incapable of doing day today activities. Patinet ko regular work me disturbance hota hai. Iske symptoms kya hai? Aise patient ko pta nhi chalta ki vo internet pe kitna time spend kar rha hai.
Patient multiple apps use karta hai jise se uska din nikal jata hai. Agar in sab chizon ko roko to patiant ko gussa ata hai. Kbhi kbhi aise patients neend bhi bhul jate hain. Neend compromise krte hain. Patient ko in sab reasons se fatigue and weakness feel hota hai. Patient apne kam me focus nhi ho pata hai. Patient jaise hi pana kam khatm krega vo internet pe vapas aa jayega. Patient apna time faltu ki chizon me jyada spend krega. Ab ye addiction bhut common ho gya hai. Ab question ye hai ki aap iski manage kaise kar skte hain. Best way hai ki aap psychiatrist se consult kren. Home remedies aap kya kar skte hain isko overcome krne ke lia? 1st hai digital detox.
2nd is digital nutrition. Gradually internet usage ka time kam krna. Jaise aap start kar rhe ho to 1 hour per day se start kro. Mobile statck kr ke puri family ka ek side pe rkh do. Intially ye ideas apko help krenge. Slowly and steadily apko ye time increase krna hai. Game khelne se acha hai ki aap newspaper pe focus kren. This is called digital nutrition. It means faltu chhizon pe focus kr ke aap research pe focus kren. Baki ki information ke lia aap mujhse Lybrate ke through contact kar skte hain.
Thank You!