Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Mar 31, 2023
BookMark
Report

Intrauterine Insemination (IUI) - Know More About It

Profile Image
Dr. Chandrashekhar SakolikarIVF Specialist • 33 Years Exp.MBBS Bachelor of Medicine and Bachelor of Surgery, MD - Obstetrics & Gynaecology, Diploma in IVF and Reproductive Medicine
lybrate_youtube

Hello, 

I am Dr. Chandrashekhar Sakolikar, IVF Specialist, Today I will talk about IUI. IUI infertility ka first treatment hai. Aaj kal sab normal hone ke baad bhi pregnancy nahi hoti hai. Ise unexplained infertility kehte hain. Ismein hum patient ke menses aane ke baad 2nd days se teatment start karte hain. Ismein kuch tablets aati hai aur egg banne start hote hain. Isko follicle monitor kia jata hai sonography pe. Kisi ko jarurat padta hai toh hormonal injection bhi dena padta hai. Kuch tablets dene padta hai jinse endometrium acha banta hai. Jab follicle size 20 mm ho jata hai monitoring karne ke baad toh hum HCG injection dete hain. Isko dene ke 36 hours ke baad ovulation hota hai. Follicle rupture hoke egg release hota hai. Husband ka semen sample lia jata hai jis mein bacterias, dead sperms, debris sab hota hai.

Semen sample ko lene ke aadhe ghante baad hum check karte hain ki kaisa sample hai patient ko dikhate hain aur fir processing chalu karte hain. Fluid mein jo sub-sample hota hai vo niche aa jata hai. Upar ka fluid hum nikal dete hain. 45 minutes ke baad jo actively motile sperm hote hain vo load hoke upar aa jate hain. Natural and ismein kya farak hai? Natural intercourse mein semen vagina mein girta hai. Usmein se 40-50% bahar aa jata hai. Kuch bacha hua hota hai and jo actively motile sperm hota hai, unko pura travel karna padta hai aur fallopian tube mein aana padta hai. Aise egg ko fertilise karte hain and fallopian tube mein embryo ban jata hai. Aise hi vo uterus mein aa jata hai aur implantation hota hai. Jiski vajaha se uterus mein pregnancy ke chances badh jaate hain.

IUI ka success rate 10-20% hota hai. Patient to patient bhi ye depend karta hai. Ye low cost treatment hai and iske result bhi ache hain. Iske baad aata hai IVF. 3-5 times IUI karne ke baad bhi result nahi milta hai toh hum patient ko IVF or ICSI suggest karte hain. Mujhe aisa lagta hai ki har patient mein IUI toh karna hi chaiye. Islia hum patient ko basic investigation ke lia bolte hain. Agar sab normal hai and semen factor mein kuch problem hai toh aap IUI kijiye. Is se pregnancy hone ke chances badh jaate hain. Is se patient ka time bhi waste nahi hota hai and female ki age bhi is case ke lia matter karti hai. After the age of 35, the quality of egg deteriorates. So, no one should wait. Agar aap ko mujhse koi aur jankari chaiye toh aap mujhse Lybrate ke through consult kar sakte hain.

Thank You.

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Intrauterine Insemination (IUI) treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details