Lybrate Logo
Get the App
For Doctors
Login/Sign-up
Last Updated: Jan 10, 2023
BookMark
Report

Irregular Menses, PCOD & Abortion Tablets - Know More About Them

Profile Image
Dr. Himani GuptaGynaecologist • 27 Years Exp.MBBS, DGO
lybrate_youtube

Hello friends,

I am Dr. Himani Gupta, gynaecologist, Kharghar Navi Mumbai se lybrate ke iss education video session mein aapka swagat karti hoon. Jaisa ki aap jante hain ki lybrate ek online portal hai patients aur doctors ke beech mein interaction ke liye. Iss portal ke dwara door door se patients humse sawal puchte hai. Toh aaj main yaha par kuch common topics ke bare mein baat karungi jaise ke irregular menses, PCOD aur abortion tablets. Inse related sawalo ke jawab main aapko dungi. To ek bahut common query jo hamare samne aati hai aur patients humse puchte hain ki period jo hai woh upar chala gaya hai, samjho ki 8 10 din ho gaye hain nahi aaya aur pregnancy test bhi kiya unhone ghar ke andar urine mein lekin woh negative dikha raha hai to woh kaise maloom kare ki woh pregnant hain ki nahi. Iss sawal ke jawab mein main unhe batana chahungi ki kuch blood test hain jaise ki Beta hCG, ek ultrasound hai iske dwara hamein pata chal sakta hai ki patient pregnant hai ya nahi. Agar patient pregnant nahi hai to kuch dawai le kar jaise ki progesterone tablets lekar periods ko laya jaa sakta hai.

Fir ek dusra ek common question aata hai ki unhone ye tablet khaya bhi lekin fir bhi period nahi aaya to ab kya kare? To uske liye main unhe bataungi ki sabse pehli baat to ye hai ki jab humne ye tablet kha liya hai progesterone ka kuch din ke liye usually isko 5 din ke liye diya jata hai aur 5 din ki dawai khatam hone ke samay uske bad bhi hume kam se kam 10 din wait karna chahiye ki period aa sake. Agar tab bhi period nahi aata hai to pehla kaam ye kare ki pregnancy test ko repeat karein aur fir jaisa maine pehle bataya tha ki beta hCG test blood mein aur sonography bhi ki ja sakti hai taki pata chal sake ki period nahi aane ka reason kya hai. Friends, ek bahut common problem jo aajkal mujhe dekhne mein aati hai vo hai ki irregular menses. Irregular kaise, jaisi ki kayi kayi din chad jate hai upar mahina nahi aata hai, kabhi kabhi to 15, 15 20, 20 din date ke baad period aate hain aur jab period aate bhi hain tab bhi vo bahut hi kam matra mein hote hai, bleeding bahut kam rehti hain. Ye problem aaj kal kafi jyada dekhne mein aati hai khaskar young females mein. College going girls, young females unke andar ye kafi dekhne ko milta hai. To bahut pucha jata hai mujhse ki ye bimari aaj kal itni jyada kyu badh gayi hai aur kaarand kya hai iska. Sabse pehle hum kaarand discuss karenge.

Mostly ye hormonal imbalance ki wajah se hoti hai jisko hum bolte hain PCOD, polycystic ovarian disease ya polycystic ovarian syndrome. Ye hai jo hai females ke andar hormones k imbalance ki wajah se hota hai. Reason iska bahut kuch lifestyle se related rehta hai jaise ki junk food ka bahut jyada istemaal karna, vajan ka badhna, sedentary lifestyle, exercise nahi karna, stress, long working hours ye sab jab ek sath club hote hain to bahut baar ovarian cycle gadbadata hai aur PCOD ye problem ka samna karna padta hai. Iske alawa thyroid ke kuch disorders ya ek aur hormone rehta hai female body mein jise hum prolactin bolte hai. Uska badhna bhi irregular menses ka kaarand ban sakta hai. Fir ye sawal aata hai samne ki agar period irregular hain to kya test kare? Basically do tarah ke test ki jaate hain: pehla blood ke andar hormone test jaise ki maine bataya ki female hormones, thyroid, prolactin aur ultrasound. Ye investigation karne se hume pata chal sakta hai ki irregular menses ka reason kya hai aur tab hum correct treatment de sakte hain. Aur dusri bahut common problem leke jo patient hamare samne aate hain vo jaise ki agar hume kisi family function mein jaana hai, kahi bahar jana hai to hume request aati hai ki hume aisi dawai de dijiye jisse ya to period hi na rahe, thode aage jake aaye, postpone hojaye ya vo chahte hai period abhi aa jaye aur taki vo jis din vo jane vale hai bahar usdin unhe iss problem ka samna na karna pade. To yaha main thoda clarity lana chahungi.

Hamare paas progesterone hormones hai jinhe dene se period thode din ke liye aage ja sakte hain lekin aisa koi bhi hormone ya koi bhi dawai aisi nahi hai jisko agar hum dedenge to period jaldi ayega. Kabhi bhi hum jab hormone ki dawayi dete hai to next periods jo hote hain vo thode irregular rehete hi hain. Agar ye hormone ki dawayi deke hum periods ko jaldi le ayenge to koi bharosa nahi ki jo normal date hai uspe vo nahi ayenge, bleeding fir bhi ho sakti hai. Iske baad hum kuch baat karenge abortion tablets ke bare mein. Abortion tablets 1 bahut safe tarika hai early pregnancy mein isko use kiya ja sakta hai agar unwanted pregnancy hai, contraception failure hai to ye tablet lene se safely abortion hota hai. Lekin dukh ki baat ye hai ki bahut bar couples bina gynaecologist ko consult kiye is tablet ko le lete hain aur iske baad unko pata nahi chalta ki ye goli khane ke baad unka abortion complete hua hai ki nahi hua hai, yeh jo bleeding hai vo normal hai ya nahi hai, vo kaise pata kare ki ab abortion complete ho gaya hai. Yaha mai sabko ek bahut dil se salah dena chahungi ki please bina gynaecologist ki advice ke inn goliyon ka istemaal na karein kyunki jab aap gynaecologist ke paas jate hain to aap ka pura check up karte hain, kuch blood test karte hain, sonography bhi karke dekh sakte hain aur sab safety precaution lene ke baad hi ye tablets diye jaate hain, pura samjhaya jata hai aapko ki unko kaise khana hai aur iske kya kya aage parinaam ho sakte hain, kaise aapko pata chale ki aapne theek tareeke se khaya hai, aapko antibiotic course diya jaata hai, tetanus ka injection diya jaata hai, sare safety precaution liye jaate hain taki baad mein, bhavishya mein aapko inn tablets ka koi side effect nahi ho.

To agar koi takleef is tarah se hai to zaroor se apne gynaecologist se miliye aur unki salah se hi aage kaam kijiye. Fir aaj ki video ka aakhri sawal mai yeh batana chahungi ki kuch patients ne jaise DNC cleaning ka procedure use kiya hai agar abortion karne ke liye to unko ye hai pata nahi chalta ki ye jo bleeding ho rahi hai, kya ye jo pain ho raha hai vo normal hai kya. To iske baare mein mai kahungi ki jab bhi cleaning ka procedure ya DNC ya DNE jisko hum bolte hai vo use kiya gaya hai to thoda pain aur thoda bleeding to hota hai, ye normal hai lekin agar ye jyada hai, aapko takleef deta hai to aapko zaroor se apne gynaecologist se milna chahiye aur apna check up dubara se karana chahiye, ho sakta hai ki ek dubara se ultrasound bhi kiya jaye ye dekhne ke liye ki sab kuch ache se hua hai ki nahi. To friends, aaj ke video mein hum yahi tak baat karenge. Lybrate ke upar aap login karke iss tarah ke aur bhi education videos dekh sakte hain ya aap online jaake apne queries bhej sakte hain aur iss tarah se aap apne aap ko safe rakh sakte hai.

Thank you!

In case you have a concern or query you can always consult a specialist & get answers to your questions!
chat_icon

Ask a free question

Get FREE multiple opinions from Doctors

posted anonymously
doctor

Book appointment with top doctors for Polycystic Ovary Syndrome treatment

View fees, clinc timings and reviews
doctor

Treatment Enquiry

Get treatment cost, find best hospital/clinics and know other details